Apni hasti bhool gaee mai teri mastt adaaon main
Aik pujaaran ulajh gaee ho jaisey laakh khudaaon main
Too bhi hai insaan, khata-ain tujh sai bhi tou mumkin hain
Mujh ko bhi shamil ker lai un maasoom khataaon main
Husn or Ishq kai deryaaon main, tair kai jaana mushkil hai
Har jumbish toofaan chupey hain in gehrey deryaaon main
Mujh sai milna hai tou mil ley, dhoondh na rastey milney kai
Galyaan, koochey rastey bhi kiya hotey hain sehraa-on main?
Insaanon ki dunya main Maah , insaan kum kum hi miltey hain
Mai nay shehron shehron dhoondha, dhoondha gaaon gaaon main.
"Woh jatey jatey Aankhon mai sapney saja gaya
Goya baghair saans kai jeena sikha gaya."
Mahheen.