2009-12-31

Dil ne

Dil ne dhadkan ko pyar se paas bulaya
pyar kya hota hai khub samjhaya
pyar ki galiyon se roobaru karvaya
pyar ki murat batakar apka chehra dikhaya

2009-12-30

Ajnabi

karta raha fareb koi, saadgi ke saath
itna bada mazaak meri zindagi ke saath
shaayad mili saza is jurm ki mujhe
ho gaya tha pyar mujhe 1 ajnabi ke saath

2009-12-29

Roz

Roz kisi ka intezar hota hai
roz yeh dil bekarar hota hai
kash ke koi samaj pata ki
chup rehne walo ko bhi kisi se pyaar hota hai

2009-12-28

Roshan

apne hoothon par sajaa kar tujhe
hum tere hi geet gaana chahte hain
jal kar bujh jaana humari kismat sahi
bas ek baar roshan hona chahte hai

2009-12-27

Saath

Jo koi samaj na paye vo baat hu
jo dhal ke nayi subah laye wo raat hu
chale jaate hai log is duniya se rishte banakar
jo kabhi chod ke na jaye wo saath hu

2009-12-24

Inkaar

teri yaad ne bura haal kar diya
tanha mera jeena muhaal kar diya
socha jo tumhe yaad na kare
dil ne dhadkane se inkaar kar diya

2009-12-23

Kahat Kabir

Miss you miss you sab kahe
par actually miss kare na koe
Kahat kabir...
agar koi kisi ko really miss kare
to sms/mail aane band que hoe.

2009-12-22

Kasam

tanhai ka mausam hai
hum hai aur saath mein gum hai
bas yeh sochkar muskura diya karte hai
kisini kaha tha haste rehna
'Tumko humari kasam hai'

2009-12-21

Toofan

soch ko apni lejao us shikar par
taki us ke aage saare sitare zuk jaye
na banao apne safar ko kisi kashti ka mohtaj
chalo ese shaan se ke toofan bhi ruk jaye.

2009-12-20

Andaz

Un lamho ko bura mata kaho
ju tumhe thokar pahuchate hai
balki un lamho ki kadar karo
que ki wo tumhe jeene ke andaaz sikhate hai

2009-12-17

Parda

meri sanso se tum shikwa karte ho
chup chup ke chahat ka sauda karte ho
tum hi socho ye kaisi majburi hai
mujh me reh kar mujhse hi parda karte ho

2009-12-16

Likha nahi

tum roothe ho humse, koi shikwa to nahi
lekin ye tareeka koi accha to nahi
na jaane, jaan gaya kaise jamaana
mene to tera naam kahi likha hi nahi

2009-12-15

Sari Umar

rishto me duria mit jayegi
ehsas ki dunia simat jayegi
hamko yaad kar k hi palak band karna
phir sari umar apki hasin khawabo me kat jayegi

2009-12-14

Rona

Dosti me tadapna bhi zindagi hai
aur gamo ko sehna bhi zindagi hai
Yu to rehti he har waqt hontho pe muskarhat
par shayad chupke se rona bhi zindagi hai

2009-12-13

Jodi

Mere ghar ke samne se bhagi ek ghodi...
Mere ghar ke samne se bhagi ek ghodi...
phir bhaage tum aur...
Rab ne bana di jodi..

2009-12-10

Aise dost

Khusi ko dhundne se gum milte hai
yeh gum zindagi me hardam milte hai
jo dilke saare dard baandh le
aise dost zindagi mein kam milte hai

2009-12-09

Aapki yaad

Har raat ek dhun gunganati hai
har phool se mahak jarur aati hai
apke mann me khayal tak na ho
par hume har waqt apki yaad aati hai.

Mohtaaj

kisiki yaad kabhi raaz nahi hoti
waqt ke pahiye mein aawaz nahi hoti
jane kis pal kisi ki yaad aa jaye
qki yaade kisi bahane ki mohtaaj nahi hoti

2009-12-08

Jawab

agar jawab doge to baat karenge
nahi doge to intezaar karenge
dosti kii hai aapse
isliye marte dum tak yaad karenge

2009-12-07

Yaad

kuch log yadon ko dil ki tasvir banate hai
dosto ki yadon mein mehfil sajate hai
yeh hum ek alag hai jo kisi ko
yaad aane se pehle apni yaad dilate hai..

2009-12-04

Tere bin

dil mein baj rahe hai taar tere naam ke
ankho me hai sitare tere naam ke
ek baar meri taraf mudar toh dekho
tum bin hum nahi hai kuch kaam ke

2009-12-02

Qabool Hai

sabne kaha dost ek dard hai
humne kaha dard qabool hai
sabne kaha ke dard ke saath ji na paoge
humne kaha ke dosti ke saath marna qabool hai

2009-12-01

Majboori

Tute khwabo ki tasvir kabhi puri hoti hai
chand tare ke bich mei bhi to duri hoti hai
dena to hume khuda sab kuch chahta hai
par uski bhi shayad kuch majburi hoti hai

Nigaah

khamos si ankho mein nami hoti hai
jab teri yad aati he, toh kuch aise aati he
ankhe band karke jo gahrai se sochu to
khamos andhere me bas teri nigah hoti hai