2010-01-31

chaand

is pyar ka andaz kuch aisa hai
kya bataye ki apna haal kaisa hai
kon kehta hai ki tum chand jaisa ho
sach to ye hai ki chand tumhare jaisa hai

2010-01-28

Na Karna

Nasihat hai aapko kuch na karna..
Gusse ke halaat me koi faisla na karna
kuch bhi ho jaaye par
khusi ke haalat me koi wada na karna

2010-01-27

Zero

Kehte he accha dost maths ke zero jaise hota hai
jis ki waise to koi keemat nahi hoti
par wo jiske sath jud jaye
uski keemat 10 guna badh jaati hai

2010-01-26

Hosh

Raat chup hai magar khamosh nahi
kaise kahu ke aaj phir hosh nahi
aise duba hu teri baato ke gehrai me
ankho me neend he magar sone ka hosh nahi

2010-01-25

Qismat

Jise chaha kaash wo humara hota
khwaish ka bhi koi kinara hota
yeh soch kar usko roka nahi
door hi kyu jata agar wo humara hota

2010-01-24

Shaam

Din dhal chuka hai sham jaa rahi hai
yeh raat bhi dekho hum pe hase jaa rahi hai
har waqt tanhai khamosi sata rahi hai
kehna sirf ye hai apki yaad aa rahi hai

2010-01-21

Kayenat

apko dekh kar ye nigahe jhuk jayegi
khamoshi ab har baat keh jayegi
padh lijiye in ankho me apni mohabbat
aap ki kasam sari kayenat ruk jayegi

2010-01-20

Anjaan

naadan hai wo, hairan hai wo
khud k hi sawaloon se pareshan hai wo
koi bataye unhe k pyaar kya hota hai
qki sacche pyar se abhi anjan hai wo

2010-01-19

Izhaar

Ho sake to pyar ke etbar karke dekho
phir lafzo se iqrar karke dekho
junoon ki had se aage nikal jaunga
sirf ek baar hum se izhar kar ke dekho

2010-01-18

Duri

Teri chahat me judai sahi nahi jati
aa sama ja meri bahon me meri jaan
ek pal bhi duri sahi nahi jaati

2010-01-17

Apke bina

Apne dil ki baat unse keh nahi sakte
bin kahe jee nahi sakte
ae rab aise taqdeer bana,
woh humse khud kahe,
hum apke bina reh nahi sakte

2010-01-14

Kho baite

do hi lafzo ka tha wo afsana
jo suna kar khamosh ho baithe
ibteda ye ke tumko chaha tha
inteha ye ke khud ko kho baite..

2010-01-13

Bhul jaoge

Kab tak khud ko rok paoge
bina mere aap na reh paoge
hum bus jayenge yadon mei aapki is tarah ki
phir aap dusro ko yaad karna bhul jaoge

2010-01-12

..Ke baad

Kab niklta hai koi dil mein bas jaane ke baad
dard kitna hota hai bichar jaane ke baad
jo paas hota hai uski kadar nahi hoti
kami mehsus hoti hai dur jaane ke baad

2010-01-11

Diye

jo mere saher mein roshni laye honge
un diyo ne bhi kitne ghar jalaye honge
haath uske bhi hue honge zakhmi
jisne kaante meri raho me bichaye honge

2010-01-10

Baazi

Raat dhali sitaare chale gaye
koi aur mila aap hume bhulate chale gaye
dosti ki baazi jeet to hum be sakte the
par apki khushi ke liye harte chale gaye

2010-01-07

Sehne do

aansu jo beh rahe inhe behne do
yeh keh rahe dil ki baat kehne do
hume mila hi kya tumhe chahne ke baad
bus dukh hi seh rahe hai hume sehne do

2010-01-06

Baharwali

Woh ped  kya jis me dali na ho
Woh bagh kya jis me mali na ho
Woh ghar kya jis me gharwali na ho
aur woh mard kya jiske bahar wali na ho

2010-01-05

Taarif

Tujh pe likna shuru kaha se karu
Ada se karu ya haya se karu
tu to itna khubsoorat hai aye dost
mumkin hi nahi ke teri tarif zuba se karu

2010-01-04

Balance sheet

Jindagi - Sales hai
Rishte - Target
wife - Daily reporting
Aulad - Incentive hai
Jawani - commitment
budhapa - achivement
maut - promotion
Lekin
dosti - Net Profit

2010-01-03

Hasratein

dard mein chahat nahi sitaro ki
tamannaye adhuri hai hazaron ki
wo waqt se pehle hi tera chale jaana
hasratien hi reh gayi tujhe gale lagane ki