2009-06-30

Dard

 

farz to hum bhi nibhayege.....
yaar ki yaad ayegi to......
ankh se anshoo gir jayenge.....
jab koi dard unke pass jaye......
to haan kar unko hum apne dil se sahjaye...... 

Zara Thair Jao

Kareeb mout khari hay zara thair jao
Qaza se aankh lari hay zara thair jao
Thaki thaki si fazayen bohjal bohjal se tare
Bari udas ghari hay zara thair jao
Naheen umeed k hum aaj ki saher dekheen
Yeh raat hum pe kari hay zara thair jao
Abhi na jao k taroon ka dil dharakta hay
Tamaam raat pari hay zara thair jao
Damfraq main tumain je bhar kar dekh to lain
Yeh fasle ki ghari hay zara thair jao
Phir is k baad na hum tum ko rokain ge
Laboon pe saans ari hay zara thair jao...!

Aap

Aapki yaadon k rahte hum tanha nahi.....
AAp yaad na aao aisa koi lamha nahi.....
Aapki yaadain hi aapka ehsas hai ...
Har pal lagta hai ki aap hamare pass hai..

Mera Dil Tujhy Yaad Kerta Hay


mera dil tujhay yaad karta hay
milne ki phir se faryad karta hay

laut aao phir se zindagi main
suna ghar jisey koi aadaab karta hay

bichray hue do dil mile aise
jaisy koi kisi ko qaid se azaad karta hay

zara jee bhar k tumhe dekh to lu
dobara phir milne ki aarzu dil karta hay

pyaar k badle mile dhoka agar
wo dil humesha zindagi barbaad karta hay

Aap aur Hum

Khusshee apki ho, par ghum mere,
zindagi apki ho, par sanse meri,
Dil apka ho, par dhadkan meri,
 
zindagi ke ahkri modh par duaa hogi yehi hamari,
Kafan apka ho, aur maut meri.

2009-06-29

Saagar

Gam ke Sagar mein,
Khushiyon ke tinke doondh raha hoon,
main Jeena chaah rakhta hoon,
phir bhi aye logo main doob raha hoon...

Kabhi

kabi yaadein kabi sapne suhane bhej deta hay

mujhe aksar wo yadon k khazane bhej deta hy

Me jab guzre dino ki talkhiyon ko bhool jata hun

mujhe phir koi beetay zamane bhej deta hy

kabhi qasmein kabhi ehd-e-wafa ka hosla dey kar

mujhe wo zinda rehne k bahane bhej deta hay.

Aye Khuda

Main hi thaam sakun haath unka, 
Mujh pe itni ibaadat si karde, 
Wo reh na paaye ek pal bhi mere bina, 
Aye khuda tu unko meri aadat si karde.....

2009-06-24

Ishq

Ye dua hai aatish-e-ishq mein tu bhi meri tarah jala kare,
Na ho khushi naseeb tujhe tere dil mein dard utha kare,
Tere saamne tera ghar jale tera bas chale na bujha sake,
Tere dil se nikle yahi dua ke na ghar kisi ka jala kare.

Kami

Har nami me kuch kami tho rahegi,
Aankhe kuch shabnami tho rahegi,
Zindagi ko hum kitna bhi savare,
Bin aapke kuch kami tho rahegi.

2009-06-23

Tujhe

Humse Apna Ghar Kisi Tarah Sajaya Na Gaya,
Jindgee Tujhko Bhi Mehmaan Banaya Na Gaya,
Laakhon Dilchaspi Ke saaman Thye Duniyaan Me Magar,
Ek Lamha Bhi Tujhe Dil Se Bhulaya Na Gaya.

2009-06-22

Feelings

Feelings

 

A thousand words rose to my lips but fell silent,
A million emotions churned out from my heart
outnumbering the stars in the night sky,
In that silence tears rolled down my cheeks
to find the gentle palm of yours holding mine.
The warmth of your hand gave my soul wings to fly
from the year-long separation that we have had,
Your very presence cleared all the doubts
just as the sun drives away the clouds.
It was bliss to lose myself
in the infinite love of your perfect eyes,
It was heaven to melt away
in the honey dew smile of yours,
which said you will never leave me!

Shaq

Tu Shaq Na Kar Mere Jazbato Pe,
Tere Sath Hi Zindagi Meri Khubsurat Hai,
Jitni Ehmiyat Hai Pani Ki Marte Insan K Liye,
Bus Utni Hi Muje Teri Zarurat Hai.....

2009-06-11

3-Factor

Jeevan me`safal' hone ke liye 3 factor jaroor lagao,
Pratham: brain mein eyes factor...
Dwitiya: jubaan mein sugar factor...
Trutiya: heart mein friendship factor...

Dosti

Jaruri nahi dosti me mulakat hoti rahe,
Jaruri nahi ki baat hoti rahe,
par jo jaruri hai vo bas yahi,
ki dost ko meri dosti yaad aati rahe.

Savera

Jo tum chaho vo tumhara ho,
Roshan raate aur khoobsurat sawera ho,
Jaari rakhege hum duaaaon ka silsala,
ki kaamyab har manzil pe dost hamara ho...

2009-06-08

Main na mil saku tumse

Waadaa Karke Nibhaane waale Kam Hote Hai

Ishq Naa Karanna Ishq Mein Ghum Hi Ghum Hote Hai

Main Naa Mil Saku Jo Tumse Meri Justaju Naa Karanaa

Tumhe Meri hi Kasam Hai Meri Aarzu Naa Karnaa

Mujhe jiss se Hai Muhobbat Use Hai Ajeeb Aadat

Kabhi Moo Ko Pher Lenaa Kabhi Guftagu Naa Karanaa

Tumhe Meri hi Kasam Hai Meri Aarzu Naa Karnaa

Main Naa Mil Saku Jo Tum se Meri Justaju Naa Karanaa

Maine Chaahaa Thaa Kisi ko Meraa Haal Kyaa Hai Dekho

Jo Kiyaa Kusur Maine Wohi Tum Ka Bhu Naa Naa Karanaa

Tumhe Meri hi Kasam Hai Meri Aarzu Naa Karnaa

Main Naa Mil Saku Jo Tum se Meri Justaju Naa Karanaa

Meri Ho Agar Buraayi To Naa Denaa Tum Safaai

Mere Saath Khud ko Rusavaa Kabhi Kubaku Na Karanaa

Tumhe Meri hi Kasam Hai Meri Aarzu Naa Karnaa

Main Naa Mil Saku Jo Tum se Meri Justaju Naa Karanaa

Koi Puchhe Badnaseebi Ki Hai Inthaa bhi Koi

To Meri Misaal Denaa Tum Mujhe Namuna Karanaa

Tumhe Meri hi Kasam Hai Meri Aarzu Naa Karnaa

Main Naa Mil Saku Jo Tum se Meri Justaju Naa Karanaa



Live and Let Live
~~~~~~~~~~~~~~~~
Raj Salecha
rsalecha@gmail.com
~~~~~~~~~~~~~~~~
Join My SMS Channel :
http://labs.google.co.in/smschannels/subscribe/Quote2Day
Dan Quayle  - "This President is going to lead us out of this recovery."

2009-06-07

Intezaar

Intezaar Ke Lamhe Sholey Mein Badalne Lage Hain,
Hum Unka Intezaar Karne Lage Hain,
Woh Aayi Nahi Abhi Tak Samay Bahot Ho Gaya Hain,
Ab To Hum Ghadi Se Bhi Sharminda Ho Gaye  Hain

2009-06-03

Yaad

Unki Tasviro Ko Seene Se Laga Lete Hai,
Is Tarah Judai Ka Gam Mita Dete Hai,
Kisi Tara Kabhi Unka Zikr Ho Jaye To,
Bheegi Palko Ko Juka Lete Hai.

2009-06-02

Khayal

Din Tere Khayal Mein Gujar Jata Hai,
Raat Ko Bhi Khayal Tera He Aata Hai.
Kabhi Ye Khayal Is Tarah Badh Jaata Hai Ki
Aaine Mein Bhi Tera Chehra Nazar Aata Hai.

Hum Na Hote To, Kisi Aur Ke Charche Hote, Na Hota Jo Yeh Ishq, To Koi Aur Gham Ke Bahaane Hote


Na aaya

Itna Kuch Khoya Ki Hume Paana Na Aaya,
Pyar Kiya To Jatana Na Aaya.
Aa Gaye Is Dil Mein Pehli Hi Nazar Mein Who,
Kasoor Humara Tha Jo Hume Unke Dil Mein Samana Na Aaya.

Woh Ek Lafz Ki Khushboo Na Rakh Sake Mehfooz Hum Unke Haath Sari Kitaab Kya Dete


Chorr diya

Karte Rahe Intezaar Har Ghari,
A Dil Humne Ye Kaya Kho Diya Uth Gaya Yakeen Wafa Se,
Jaane Tumne Wo Waada Kyon Kiya Suraj Nei Hansna Aur Taaron Nei Muskuranaa Chhor Diya
Aag  Thee Dil Mei Mohabaat Ki, Usney Bee Ab Jalna Chhor Diya

Sharab

Pee ke raat ko hum unko bhulane lage,

sharab mein gum ko mitane lage,

Zalim sharab pite hi asar dikhane lagi,

nashe mein unki saheliya bhi yaad aane lagi

Ghajini

Teri Dosti ko mein nibhaunga,

teri khusiyon pe muskaraunga,

Badalna nahi waqt ki tarah A dost,

warna ho ke ganja Ghajini ka hero banjaunga

Chali Gai

mere khwabon me vo teer chala kar chali gai, 
mai soya tha jaga k chali gai,
maine pucha chand kaise nikalta hai ,
to chehre se julfain hata k chali gai.

Raj

ek Shayr

lafjo ki tarh kitabon me milna ,
duniya ka dar ho tou khwabo me milna,
phulon ki khushbu se taluk hai jaruri,
tu banke mehalk gulabon me milna.

rj

Chota Shayr

Nadaani mein hum kisse apna samajh beithe
jo dikhaaya uss bewafa ne sapna hum haqeeqat samajh beithe
dekho aaj chod diya hamein usne ek gair ke liye
jisse hum apna humsafar samajh beithe 

Raj

2009-06-01

Woh

Ai meri zindagi yu mujhse daga na kar,
Use bhul kar zinda rahu ye dua na kar,
Koi dekhta hai use to hoti hai taqleef,
Ai hawa tu bhi use chua na kar.

Palke

Unki Tasviro Ko Seene Se Laga Lete Hai,
Is Tarah Judai Ka Gam Mita Dete Hai,
Kisi Tara Kabhi Unka Zikr Ho Jaye To,
Bheegi Palko Ko Juka Lete Hai.