2009-10-31

Aata hai..

Tum saath na do mera
chalna mujhe aata hai
har aag se waqif hun mein
jalna mujhe aata hai.

2009-10-30

Dhadkan..

yaadon ke sahare duniya nahi chalti
bina mile kavi, mehfil nahi baanti
ek baar dil se pukaro to dost
q ki dosto ke bina yeh dhadkan nahi chalti

2009-10-29

Kitna...

kitna bebas hai insaan apni kismat ke aage,
kitna benoor hai sapna haqueequat ke aage,
koi ruki hui dhadkan se pooche ,
kitna tadapta hai dil mohhabbat ke aage.

2009-10-28

Sazaa

unko hum kya saza de jisne
mohhabat mein mera dil tod diya,
gunaah to humne kiya jo unki
baaton ko mohhabat samajh liya.

2009-10-27

Fariyaad

tanhaiyon mein unhe yaad karte hain,
woh salamat rahe yeh fariyaad karte hai,
unhi ki shayari ka intezaar karte hain,
unhe kya pata hum unse kitna pyaar karte hai.

2009-10-26

Faasle

faasle bahot hai par itna maan lijiye
kareeb reh kar bhi har koi khaas nahi hota
aap khayaalon mein inte kareeb ho ke
faaslon ka ehsaas hi nahi hota

Faasle

faasle bahot hai par itna maan lijiye
kareeb reh kar bhi har koi khaas nahi hota
aap khayaalon mein inte kareeb ho ke
faaslon ka ehsaas hi nahi hota

Teri Yaad

Har Subhah Teri Muskarati Rahe,
Har Sham teri Gungunati Rahe,
DOST tu Jise se bhi Mile,
Her Milane walo Ko Teri Yaad Aati Rahe

2009-10-24

Woh..

Wo ankhon me ashq liye baite hai,
Hum bhi unki pyar me pagal huye baite hai,
Hum toh jaan dene ko bhi tayyar hai,
Magar woh hamari jaan bankar baite hai.

2009-10-23

Koi...

Rishtonki Haqiqath koi kya samjhega.
Dilon ki zaroorath koi kya samjhega,
Unki muskurahat hai toh zindagi hai Hamari,
Uss muskurahat ki keemat koi kya samjhega.

2009-10-21

Aadat

Sapno se dil lagane ki aadat nahi rahi,
har waqt muskurane ki aadat nahi rahi,
ye soch ke ki koi manaane nahi aayega,
ab hume rooth jaane ki aadat nahi rahi

2009-10-20

Kaanto Mein

Kanto main phulonko khilte hue dekha hai,
Tufano main kashtiyonko sambhalte hue dekha hai,
Andhero ko ujalon main dhalte hue dekha hai,
Hamane waqt ke saath logo ko badalte hue dekha hai,
Kanto main phulo ko........

Jab jab bhi aaye kisi ki yaad,
jiske bina dil rahetatha hardam udas,
jab wo aakar mila bahot dino ke baad,
Tab aasuonko bhi kushiyonmain badalte hue dekha hai,
Kanto main phulo ko.......

Apne haq ke liye bar bar insano ko ladate hue dekha hai,
Hamane kai acche logonko buri sangat main padate hue dekha hai,
Budhe lachar Maa Baap se jawan bete aur bahu ko,
zagadate hue dekha hai,
Banate bante kam ko kai bar bigadate hue dekha hai,
Kanto main phulo ko.......

Hamane kai baar apne matalab ke liye,
khun ke rishton ko bhi tutate hue dekha hai,
Apni jeb bharne ke liye dusro ko lootate hue dekha hai,
Aur pakade jane par choro-jebkataronko marte dum tak,
pitate hue dekha hai,
Apne hi desh ke logonko dharm aur jati ke naam pe,
batate hue dekha hai,
Kanto main phulo ko........

BHARAT DESH hai hamara,
Jag main hai sab se pyara,
jab jab bhi kabhi ispar aanch aayee kisiki,
Tab tab desh ke shur-veer jawano ko,
Matrubhumi ki raksha main Amar hote hue dekha hai.

Dhokha

Dhokha Mila Jab Pyar Mein
Zindagi Mein Udaasi Cha Gai
Socha Tha Chod Denge Is Raah Ko Par
Kambhakhat Aaj Mohalle Mein Dusari Aa Gai

2009-10-19

Aaabad

Hasin Palo ko Phir se aabad kar rahe the,
Chand se Aapki baate kar rahe the"
Dil ko bada Sukun mila jankar
ki Aap bhi hame hi Yaad kar rahe the!!

2009-10-18

Tu mili to mili aisi jannat mujhe

Tu mili to mili aisi jannat mujhe
Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

Mit gaye fasley kam hui dooriyan
Khatem honey ko hain saari majbooriyan
Waqt nay baksh di aisi rahat mujhey
Ab kisi aur rahat ki perwah nahi...

Tu mili to mili aisi jannat mujhey
Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

Janey kya kya hamien log kehtey rahey
Rooh tarapti rahi Hans ke sehtey rahey
Jo tere pyaar ney di mohabbat mujhey
Ab kisi bhi mohabbat ki perwah nahi

Tu mili to mili aisi jannat mujhey
Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

Ek muddat isi kash ma kash mein raha
Jis ki thi aarzoo baat wo ban gayi
Khawab lagtey hain saarey haqeeqat mujhey
Ab kisi bhi haqeeqat ki perwah nahi

Tu mili to mili aisi jannat mujhey
Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

2009-10-17

Maa

Jab jab hame pyaas lagti hai,
Unke aane ki aas lagti hai.
Unki deewangi main hum ho gaye itne deewane,
Ki har ladki ki maa apni saas lagti hai.

2009-10-16

Waqt

Lamha lamha waqt guzar jayega,
Chand lamho mein daaman chhod jayega.
Abhi waqt hai do baatein kar lo humse,
Kya pata kal kaun teri zindagi me aa jayega.

2009-10-15

Kora Kaagaz

Hum aapko yaad rahe to thik warna bhula dena,
Hui ho humse koi khata to saja dena,
Hum to ek kore kagaj ki tarah hai,
Kuchh likho to thik warna jala dena.......

2009-10-14

Sahaara

aapse hum tab miley jab aapka koi sahara nahi tha
unn dino hamare bina aapka ek b pal gavara nahi tha
lagta tha hamare rishte ka kabhi kinaara nahi tha
aaj dekhiye kaise badal gaya hai waqt-e-aalam
aapke ghumoon ko to humne churaa liya
kyuki khushiyoon pe to huk hamara nahi tha...

2009-10-13

Dooriyaan

karni thi bahut c baatein
lekin shayad waqt ko nahi tha manjur
muje to kardiya tumse judaa usne
lekin nahi kar payega teri yadoon ko mujse duur...

2009-10-12

Khudaai

apna jisse samjha jab usne ki ruswaai
saath nibhane mere chali aai meri tanhaai
puuchta hu roz uss khuda se ye zindagi muje kaha le aai
jab haste hai sab mere ashkoon par puuchta hu kaha gai ab uski
khudaai...

2009-10-11

Saansein

tumhare saath beetey vo har ek pal
meri yaadein ban gai...
tumhare saath guzre vo har ek din
meri zindagi ban gai...
kaise bhul paaunga un lamhoon ko
kaise rook paunga khudko
kyunki tum to meri sansein ban gai......

2009-10-10

Purane

Jinki yaad mein hum dewane ho gaye,
Wo hum hi se begaane ho gaye.
Shayad unhe talash hai ab naye dost ki,
Kyunki unki nazar men ab hum purane ho gaye.

2009-10-09

Daag

har daag daag nahi hota,
har dost wafadaar nahi hota,
ye to dil milne ki baat hai,
warna saat pheron me bhi pyaar nahi hota

2009-10-08

Yaad

Jaruri nahi doston me baat hoti rahe,
Jaruri nahi ki doston me mulakat hoti rahe.
Jaruri hai bas dost jahan bhi rahe
use hamari yaad aati rahe.

2009-10-07

Chaahat

Kismet se apni sabko shikayat kyon hai,
Jo nahi mil sakta usi se mohabbat kyon hai,
Kitne khade hai rahon pe,
Phir bhi dil ko usi ki chahat kyon hai.

2009-10-06

Judaa

Chand ki raton mein sara jahaan sota hai,
Lekin kisi ki yadoon mein koi badnaseeb rota hai,
Khuda kisi ko mohabbat pe fida na kare,
Agar kare to kisi ko juda na kare?.

2009-10-05

Naseeb

Ishq ke rishte kitne ajib hote hain?.
Door rehke bhi kitne karib hote hain,
Meri barbadi ka gum na karo yaron,
Ye to apne apne nasib hote hain..

2009-10-04

Ruthoo

Yu na rutho Mujse dil sehem sa jata hai
Har pal me tera he to khayal aata hai
Dil to mera sirf sansein leta hai
Lekin zindagi to ye tuje batata hai...

Bhool gaye

Savera kya hua, sitaron ko bhul gaye.
Suraj kya aaya, chaand ko bhul gaye.
Guzre kya kuchh pal humare bina,
Aap hume hi bhool gaye