2009-11-29

Tera Saath

Ae dost bata tera naam kya rakhu
khawab rakhu to adhura rahega
dil rakhu to toot jaayega
aa tere naam Zindagi rakh du
maut tak tera saath to rahega

2009-11-26

Bana gaye

Apne karam se wo mera muqaddar bana gaye
qattre ko pal me samundar bana gaye
phoolo se naram tha kabhi dil ye mera
itna tadpaya ke patthar bana gaye

2009-11-25

Badal jaati hai

Nazar badalti hai... wafaye badal jaati hai
meri ada se hawae badal jaati hai
apni mehbuba ko bachalo bhai
meri ek muskaan se premikae badal jaati hai

2009-11-24

Saanso

Hum na ajnabi hai na paraye hai
aapke hi jism-o-jaan ke saaye hai
jab bhi ji chahe mehsus kar lena
hum aapki hi sanso me samaye hai

2009-11-23

Nazar

Fir wahi fasana afsana sunate ho
dik ke paas hu keh kar dil jalate ho
beqaraar hai nazar.. nazar se milne ko
to phir kyon nahi milne aate ho

2009-11-22

Kismat

Khwaab apne hi... hame satane lage
tab man ko.. andhere bhaane lage
kabhi na... saath diya qismat ne
tab hum hi... Kismat ka saath nibhane lage

2009-11-19

Yaad

Teri yaad bhi kya kamal karti hai
kaise humse ye sawal karti hai
ek pak ke liye bhi tanha nahi karti mujhe
teri yaad bhi mera kitna khayal karti hai

2009-11-18

Tum se

Tu chala gaya jese ujar gayi duniya meri
mujhe meri duniya se mila de koi
nahi bharosa apni qismat pe mujhe
meri akhri sansoon tak tum se mila de koi

2009-11-17

Shabnam

Raat ki Chandni intejar mein dhal gayi
Mera tanha dil jala to sama pighal gai
Yeh meri ulfat ki dastan hai pyare
Bahaar aayi magar shabnam ke sath chali gai

2009-11-16

Banaao

Pyaar ko kamzori nahin taaqat banaao....
Rishto ko majboori nahin ebaadat banaao......
Zindgi sirf jeene se kya Hoga..........
har pal har lamhe ko apni Koshish se jannat banaao

2009-11-15

Tanhayee

Mai, mera kamra aur meri tanhayee Beete palon mei kho jaati hai
Woh bachpan ka khelna kudna Kamre ki band char diwari
Bara deti hai meri tanhayee

Mai, mera kamra aur meri tanhayee
Soye armaano ko jaga deti hai
Sochti huin kaya hoga
en dewaron kei peeche
kya unka khokhlapan mujhse
chheen lega meri tanhayee

mai, mera kamra aur meri tanhayee
dam torti ashaon ko jala degi
ya phir ek naya gum nai kalpana tadpayegee
phir sei meri yeh tanhayee

mai mera kamra aur meri tanhayee
apne adhoorepan kae ehsaas ki sachai
bikhrate hue khwabon see uljee zindagi se
kya mujhko bacha legi yeh tanhayee

2009-11-12

Likha he

maine likha he naam uska samandar ki naram ret per,
        kisi leher mein ho dum to use mitakar dikhae,
maine likha he naam uska kore kagaz par,
        koi aakhein ho mahabbat wali to padhkar sunayein,
maine likha he naam uska mere mom se Dil par,
        kisi aag mein ho dum to jalakar dikhae !!

2009-11-11

Kyon

Ik Baar Jeene Ki Saza Kyon Nahi Dete,
Aankh Se Do Ashq Baha Kyon Nahi Dete,
Phool Hain Agar To Daman Mein Bharlo,
Pathar Hain Agar To Raaste Se Hata Kyon Nahi Dete.....

2009-11-10

Tumsa

Na gujarana aaj ke din kisi masjid ke pas se
kahi log chand samajhkar roja na tod de,
Aurr hokar khafa Khuda tumsa kahin,
Husn banana na chhod de.

2009-11-09

Wafa

woh dil hi kya jo waffa na kare,
tujhe bhul kar jiyen khuda na kare,
rahegi teri dosti meri jindagi ban kar,
woh baat aur hai agar jindagi waffa na kare.

2009-11-08

Sapne

Roti Hui Ankho me Inetzar Hota hai,
Na Chahte Hue Bhi Pyar Hota hai,
Que Dekte hai Hum Woh Sapne,
Jinke Tutne Par Bhi Unke Sach Hone Ka intezar Hota hai

2009-11-06

Taj

Ek Ummeed ka Diya jal raha thaa jise Baarish ne bujha diya,
Tanaah akele khushi se jee rahe the kambakht unki Yaad ne rulaa diya..!.!

Ishq ne insan ko kya se kya bana diya kisiko kavi to kisiko katil bana diya
Do phulon ka boj na utha sakti thi Mumtaz Aur Shahjahan ne us per TAJMAHAL bana diya

2009-11-05

Maar diya

Kisi Lutere Ne Nahin-Mujhe To Teri Sadgi Ne Lut liya,
Kisi Waqt Ne Nahin-Mujhe To Tere Intezar Ne Maar diya,
Kisi Khanjar Ne Nahi-Mujhe To Tere Alfazo Ne Zakhmi kiya,
Are Ab to Gussa Chhod De - Mujhe Teri Khamoshi Ne Maar diya..

2009-11-04

Nafrat

pyar itna karo jiski koi hadh na ho
bharosa itna karo ki koi shaq na ho
intezar itna karo ki koi waqt na ho
aur dosti aise karo ke kabhi nafrat na ho

2009-11-03

Nazar

ek lafz mein kya teri taarif karu,
aap lafzon mein kaise sama paaoge
bus itna jaan lo jab log mohhabat ke baare mein puchenge
to meri ankho mein tum nazar aaoge

2009-11-02

Shabnam

raat ki chandni intejar mein dhal gai
mera tanha dil jala to sama pighal gai
ye meri ulfat ki dastan hai pyaare
bahar aai magar shabnam k saat chali gai

2009-11-01

Shama

hum jaise dost hote nahi sabhi ke liye
yeh tofha hai kisi kisi ke liye
qu jala rakha hai shama.. ise bhuja dijiye
kya hum kam hai.. roshni ke liye

sham se chiraagon ko bhuja rakha hai,
kyonki yeh dil hi kaafi hai
teri yaad mein jalne ke liye !!