2009-09-29

Astitva

maine badal se uska astitv pucha
wo phoot phoot baras utha
maine usse kaha tera thikana hai kahan
wo kuch vyakul, kala ho chala

maine pucha tu kis disha se hai aaya
wo mujh per garaj utha..mera mann ghabraya
mund ke aankhen main baith gaya
wo garajta raha barasta rahaa ..ankh khuli to use na payaa
akash ekdam saaf tha
suraj ki sunhari kiran ko dekhman mera muskura utha
suraj bola badal ka hai bas itna sa astitv
tu yuh na ghabra

Gum tumhe dhamkayege pal pal satayege
tu haar kabhi na maan na
chamkile din bhi zindgi me aayege !

2009-09-28

Zindagi

Zindgi ne kya kuch na dikhaya
Thoda Haasaya thoda rulaya
Mauth aati nahi, Umeed thamti nahi
Aye-zindagi !!
Na marna sikhaya na jeena sikhaya!!

2009-09-27

Daastan

Dil mein hai jo dard itna, woh dard kise bataye...
Hanste hue ye jakhm hazaro, dekho hum kaise chupaye !!
kehti hai yeh duniya khush naseeb humein ...
Magar hum apne iss naseeb ke daastan kise sunaye !!

Tosha

2009-09-26

Umeed

Unka pyaar meri saanson mein basa hai
itni doori hai phir bhi lab pe hasi hai
Jaadu hai unki adaon ka, ek nasha hai
mujme jeene ki umeed jaag rahi hai

Anita Das

2009-09-24

Chamak

Tum mein Hiro ki chamak hai to andheron se dosti karlo,
Warna Kaanch ke tukde bhi chamkte hain ujalo mein..

Aapka

Mere Zakhmo Ko Apka Dukhna Accha Laga
Meri Haalat Pe Aapka Muskurana Accha Laga
Mujhe To Talab Thi Apke Pyar Ki
Apka Nafrat Se Nighae Churana Accha Laga.

2009-09-23

Katre

Aaj Barish Me Tere Sang Nahana Hai
Sapna Yeh Mera Kitna Suhana Hai
Barish Ke Katre Jo Tere Hothon Pe Gire Hai
Un Katro Ko Apne Hothon Se Uthana Hai

Message

Sookhi Padi Hai Dalee, Mausam Nahi Aaya
Abhi Tak Hawaa Ka Koi Jokha Nahi Aaya
Subah Se Mobile Sajayen Baithe Hai
Dost Phir Bhi Tera Koi Msg Nahi Ayaa

2009-09-22

Ehsaas

Apne Aagaaz Se Aaj Tak Zindagi
Teri Hi Yaad Mein Gum Rahi
Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ehsaas Hai
Jaise Chaahat Meri Kam Rahi

Majboor

Samaj Jate The Hum Unke Dil Ki Baato Ko
Wo Hame Har Bar Dhoka Dete The
Lekin Hum Bhi Majboor The Dil Ke Haato
Jo Bar-Bar Mauke Dete The

2009-09-21

Hum

Pyaar Ki Woh Misaal Banayenge Hum
Aankhe Band Karoge To Nazar Aayenge Hum
Bhar Denge Itna Pyar Dil Mein Ki
Khud Se Pehle Yaad Aayenge Hum

Ghaadi

Kabhi Khushi Se Khusi Ki Taraf Nahi Dekha
Tumhare Baad Kisi Aur Ki Taraf Nahi Dekha
Yeh Sochna Ke Tera Intezaar Zaruri Hai
Tamam Umar Ghadi Ki Taraf Nahi Dekha

2009-09-20

Accha Laga

Laga Kar Aag Mere Ashiyaane Ko,
Phir Aapka Khushiyaan Manana Accha Laga,
Dil Mein Thi Hasrat Aapke Deedar Ki
Saamne Aakar Chehra Chupana Accha Laga.

Afsos

Ek Parinde Ka Dard Bhara Fasana Tha
Tute The Pankh Aur Udthe Hue Jana Tha
Tufan To Jhel Gaye Par Hua Afsos
Wahi Daal Tuti Jis Par Uska Ashiyana Tha.

2009-09-19

Mohabbat

बेइन्तहा करते है हम मोहब्बत उनसे पर…..
दिल में है जो,उन्हें लफ्जों में हम कैसे जताएं !!
इश्क कि बातें हैं बंद जुबान की, अब ……..
भरी महफिल में हम कैसे सुनाएँ,कैसे समझाएं

Ashq

Woh samjh naa paye naino ki bhasha,
Jataya nahi to kyaa Pyar nahi Unn se…
Chal diye woh kisi aur ka hath tham kar,
Sun kar yeh.. ashq bhi nikale.. toh khoonn ke..

2009-09-18

Duaae

Dil se duaae bheji hai.
man ki umange bheji he.
Is paigam ko shabdo ka dher mat samajana
humne apni takdir se churakar
thodi khushiya bheji he...

Daastaan

दिल में है जो दर्द इतना, वो दर्द किसे बताएं…..

हंसते हुए ये ज़ख्म हजारो, देखो हम कैसे छुपाएँ !!

कहती है ये दुनिया खुश नसीब हमें …………….

मगर हम अपने इस नसीब की दास्ताँ किसे सुनाएँ !!

2009-09-17

Apnane

Hum to tere dil ki mahfil sajane aye the,
Teri kasam tujhe apna banane aye the.
Kis bat ki saza di tu ne ham ko,
Bewafa hum to tere dard ko apnane aye the

Namkeen

Na jaane aap par itna yakeen kyun hai,
Aapka khayal bhi itna haseen kyun hai,
Suna hai pyaar ka dard meetha hota hai,
To aankh se nikla aansu namkeen kyun hai?

2009-09-16

Jarurat

Hathon ki lakiron main kismat hoti hai,
Milna aur bhul jana logo ki fitrat hoti hai,
Bikharta to har koi hai dard me,
Magar gum bhulana insaan ki jarurat hoti hai

Yaadein

Har ek manzar par udasi hayi hai,
Chand ki roshni main bhi kuch kami aayi hai,
Akele ache the hum apne ashiyane main,
Jaane kyun laut kar aaj phir teri yaadein aayi hai

2009-09-15

Haalat

kuch loog bhool kar bhi bhulae nahi jate,
Aetibaar itna ke azmae bhi nahi jate,
ho jate hain dilon pe kuch is tarhan haalat,
Kay naksh un ke, dil se mitae nahi jate.

Rawani

Barish Ka Pani
Pholoon ka chehakna
Mitti ki khusbu
Woh raaste ka bheegna

Aur Hawa Mein hai Jo Rawani
Kaise mein Uska bayan Likhoon ...

Baarsat ke iss mausam mein
kaise mein tera intezaar karoon ....

2009-09-14

Jawaab

Bicharte hue apni yaad de jainge,
khud sone se pehle tum ko ek khawab de jainge,
Tumhe gila hai ke hum jawab nahi dete,
Sansoon ke rukne say pehle har jawab day jainge

Swaarg

Subah ka har pal Zindagi de aapko,
Din ka har Lamha Khushi de aapko,
Jahan gam ki hawa chuh ke bhi na gujare,
Bhagwaan woh Swarg de Aapko.

2009-09-13

Palpal

Jo Palpal Chale ... Woh Zindagi Hai.
Jo Palpal Jale ... Woh Roshani Hai.
Jo Palpal Khile ... Woh Mohabbat Hai.
Par...
Jo Harpal Saath Rahe... Woh DOSTI Hai….

Email

Dil ne socha khat likhu, par mili na shayari pyar wali.
Phir socha likhu phool se, par mili na dali gulab wali.
Isliye email bhej raha hu taki toote na dosti pyar wali.

2009-09-12

Imtihaan

Jane kaha the or kaha aa gaye !
duniya me bankar mehman aa gaye !
Abhi to zindagi ki kitab puri padhi bhi nahi
aur jane kitne imtihan aa gaye…

Ehsaas

Kash Ye Dil Shishe ka bana hota,
Chot Lagti to Beshak ye Fanah hota. .
Par Sunte Jab Wo Aawaz iske Tutne ki,
Tab Unhe b Apne Gunah ka Ehsaas hota

2009-09-11

Bheed se

Aaj dil puch baitha, apni hi tasveer se,
Tune kya paya hai apni taqder se,
Aapki tasveer dilke aaine ko dikhai,
Aur kaha aisa dost paya hai dunia ki bheed se.

Soorat

Khuda hamari tarah tumhe tanhaayi na de,
Hum jee lenge tanha, par tumhe Judai na de,
hamari nigahon mein basi rahe apki soorat,
Aapko bhale hi hum dikhayi na de

Magar

Sapna Kabhi sakar nahi hota
mohabbat ka koi aakar nahi hota
sub kuch hojata hai is dunya mein magar
dubara kisi se sacha pyaar nahi hota…..

2009-09-10

Darr

Pyar ko chod kar tum koi aur baatkaro
Ab mujhe pyar ki har baat se dar lagta hai
Meri khatir na woh badnam kahin ho jaye
Esliye unki har mulaqat se dar lagta hai

2009-09-09

Pyasa

Chandni se chamakti is raat mein,
ek khushboo si hai har baat mein,
hai sitaare mere kadmo ke tale,
Ek ehsaas hai aaj unki har aahat mein,
paas aake bhi kyu hein duriya,
koi pyasa hein kyu barsat mein.

Check

Aur bhi bahut si cheeze lut chu-ki hai dil ke saath
Ye bataya dosto ne ishq farmane ke baad ..
Is liye kamray ki ek ek cheez "ckeck" karta hoon main
"Ek tere aane se pehle, ek tere jaa-ne ke baad"

Ghazal

Kaghaz pe hum ne zindagi likh di,
Ankhon se seench kar apni har khushi likh di,
Dard jab hum nay utara lafzon may,
Zamanay nay kaha WAH kia ghazal likh di.

Yaad

Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,
yaad unhe din rat kiya karte the,
ab un raho se guzra nahi jata,
jaha baith kar unka intezaar kiya karte the.!

2009-09-07

Kaha us ne...

kaha usne bharoosa dil pe itna nahi karte .
kaha me ne pyar me kabi socha nahi karte

kaha us ne khush rang duniya ke nazaray hain.
kaha me ne jab tum ho paas,hum kuch dekha nahi karte

kaha us ne main tum se door hon lekin tumhare paas hun
kaha main ne sapno se dil ko behlaya nahi karte.

kaha us ne tumhari chahat humhe ruswa kar degi.
kaha main ne shorat se gabraya nahi karte

kaha usne samjh jao meri jaan samjh jao.
kaha main ne dewano ko samjaya nahi karte

2009-09-05

Saawal

Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai,
Koi aankhon aankhon mein mulakat kar leta hai,
Mushkil hota hai jawab dena,
Jab koi khamosh rehkar bhi sawal kar leta hai?..

Khel Lafzon ka

Karrwey Hotey Hain , Meetthey Hotey Hain
Sachey Hotey Hain , Jhootey Hotey Hain
Zahreeley Hotey Hain , Nasheeley Hotey Hain
Jaadoo Kar Detey Haon , Pagal Kar Detey Hain
Kateley Hotey Hain , Nokeley Hotey Hain
Kahin Matam Kar Detey Hain
Kahin Khushiyan Bhar Detey Hain
Sara Khail Hi Lafzon Ka Hai
Sara Khail Hi Lafzon Ka Hai ....!

Kaha karte the

Mai wohi hoon jise Tum Dost kaha kartey they
Din mai 100 baar Mera Naam liya kartey they

Aaj kya Baat hia, Q Mujh se Khafa bethey ho
Kya kisi aur ko Dost bana bethey ho?

Faasle itne to Pehley na hua kartey they
Mai wohi hoon jise Tum Dost kaha kartey they

Tum agar Bhool gaye to koi Baat nahi
Zakhm to pehley bhi is Dil per laga kartey they

Mai wohi hoon jise Tum Dost kaha kartey they
Din mai 100 baar Mera Naan lya kartey they

Zakhm

Dil toota hai magar apni yaade chod gaye
Kasam hamse karake khud vaade thod gaye
Lagta hai dar raat se kahi unki sapne na aajaye
Dil ke zakhm ke upar naya chot na lag jaye

Aap mile

Dost manga tha khuda se par sab bewafa mile
Izhaar karke zindagi me sabse bas intezaar mile
Phoolon se sajaya kisiko dilme tho bas kaante mile
Ab maangne se darte hai kahin naya zakhm na mile

Baarsat

Barsaat kee bheegee raaton men, jab yaad kiseekee aatee hai
Armaan bhare is dil ko wo, meethee see kasak de jaatee hai

Jab door gagan men ye bijlee, yoon chamak chamak ke naach uthe
Sapnon se jagaakar ye meree, neendon ko udaa le jaatee hai

Ghan ghan garjen dham dham barsen, ye baadal kaale kaale bhee
Barish kee ye boonden dekho, kyaa bal khaake lahraatee hain

Ye raat bhee kaT hee jaayegee, wo subah nayee fir aayegee
Ye sochke hee is gulshan men, phoolon kee mahak chhaa jaatee hai

2009-09-03

Ittefaq

Ittefaq se hum mile,
Ittefaq se aap hume pasand aaye,
Ittefaq se hum dost bane,
Humari dosti ab ittefaq nahi,
Zindagi ki khoobsurat hakikat hai?.

2009-09-02

Darr

Jamane se nahi to tanhai se darta hun,
Pyar se nahi to ruswai se darta hun,
Milne ki umang bahot hoti hai dil me,
Lekin milne ke baad teri judai se darta hun??

Deewane

Yun door rehkar duriyon ko badhaaya nahi karte,
Apne deewanon ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyaal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte??