2010-12-22

Badnaam

Chehre Se Naqab Uska Hawa Jab Uda Gai

Ankho Ke Raste Wo Mere Dil Me Sama Gai

Badnam Ho Gaya Hu Itni Si Baat Per

Meri Taraf Dekh ker Bas Wo Muskra Gai

2010-12-17

Jhuk jata hai

Yad Sachi Ho To Waqt Ruk Jata H

Asman Lakh Uncha Ho Magar Jhuk Jata H

Rishto Me Lakh Bane Rukawat Pr

Agar Dost Sacha Ho To Dushman bhi Jhuk Jata H

2010-12-16

Raton

Is Tanha Rato Me Aap ka Sath Hota,

Is Tanha Dil Par Aap ka Hath Hota,

Kash Ho Jati Thi Ye Dhadkane Ek,

Har Dhadkan Par Aapakahi Nam Hota...

 

2010-11-30

Viran

Ek DIN Mujse Mera Pyar Udhar Mangoge

Apne Betab DIL Ka Karar Mangoge

Mai Sirf Tere CHAMAN Ka Phool Hu

Apni VIRAN Zindgi Ke Liye Bahar Mangoge

Tum ho

Mera Sawan Tum Ho Meri Pyas Bhi Tum Ho

Sehra Ki Baho Me Chupi Aas Tum Ho

Tum Yu To Bahut Dur Ho Mujse

Ehsas Ye Hota He Mere Dilke Pas Tum Ho

2010-11-29

Accha lagta he

Teri baate yaad karna accha lagta he

Khud me mehsus karna acha lagta he

Dua he khuda tujhe hum se juda na kare

Teri sanso ke nazdik rehna accha lagta he

Ehsaas

Kaise bayan kare Alam hum dil ki bebasi ka!

Wo kya samjhe dard aankho ki nami ka,

Unke chahnewale itne ho Gaye

Ki unhe ehsaas nahi humari kami ka

2010-11-26

Haqiqat

Kahi ye duri dard na banjae,
dekhe bina apko hum kabi reh na paye
khuda kare aisa waqt bhi aye,
mai jab jab apko yaad karu aap haqiqat me mere samne aa jaye

2010-11-25

Jiya nahi jata

Kyu Ek Pal Bhi Tum Bin Raha Nai Jata
Tumhara Ek Dard Bhi MuJHse Saha Nahi Jata
Q Itna Pyar Diya He Tumne, aeJAAN
Ki Tum Bin Mujhse Jiya Nahi Jata

2010-11-11

Sangam

Hum Kisi Ke Katil Adaon Ke Mare Hai,

Wo Kahte Hai Hum Bechare Hai,

Akhir Sangam Hota Hai Lahron Ka Sagar Me Hee

Toh Fir Kyon Har ek Ke Alag Alag Kinare hai.

2010-11-10

Qismat

Saath Roti Thi Aur Hansa Karti Thi

Woh Ladki Jo Mere Dil Me Basa Karti Thi

Baat Qismat Ki Hai Sirf Juda Ho gaye Hum

Warna woh Toh Mujhe Taqdir Kaha Karti Thi

2010-11-09

Nahi !!

Wo yad karte to hai par dil se nahi,

wo humse milte to hai par mann se nahi,

kon kehta hai wo pyar nahi karte,

karte to hai par humse nahi..

2010-11-08

Wafa

Koi Khushiyo Ki Chah Me Roye,

Koi Dukho Ki Panah Me Roye,

Ajib Silsila Hai Ishq Aur Mohabbat Ka,

Koi Wafa Ke Liye Roye,Aur Koi Wafa Kar Ke Roye!

2010-11-03

Diwali

Pal pal sunhare phool khile,
Kabhi na ho kaanto ka saamna,
Jindagi aapki khushiyo se bhari rahe,
Dipawali par humaari yahi shubhkaamna

2010-10-25

Kanjoos

Kabhi Kabhi Nahi Har Roz Mili

Zindagi Se Har Ek Mauj Mili

Bus Ek Saccha Dost Manga Tha Zindagi Se

Lekin Mujhe Kanjuso Ki Fauj Mili

2010-10-20

Unke bina

Hum Use Bhula Kar Bhi nahi ji Sake,

Hum Use Yaad Rakh Kar Bhi nahi ji Sake,

Mar Jate Kab ke Unke bina,

Par UNKI BAHON KE BINA MAR Bhi NA SAKE.

2010-10-18

Ashq

Tanhayi ki ye kuch aisi ajab raat he

Tujse judi hui har yaad mere sath he

Kis kadar ki thi mohabat humne tumse

Soch kar hui aaj ashqo se mulaqaat he

2010-10-17

Gunah

Tujhe Chah K Kese kisi ki Chah Karu

Tujhe Bhool ke Q Khud ko Tabah Karu

Tu Zindagi He Nahi Dil Lagi B Hai

Phir Q Or Kisi ko Soch k Gunah karu

2010-10-14

Sacchi Dosti

Mai kahu aur tum Suno wo acchi dosti

tum kaho aur Mai Sunu wo usse bhi acchi dosti

Par Mai kuch bhi na kahu aur

tum samajh jao wo hai sacchi dosti.

2010-10-13

Dua

Na Rahe Koi Gila is Qadar Wafa Dege

Apki khushi ki Khatir Aansu Tak Baha Dege

Kabi na Bhulaenge Apke PYAAR Ko Hum

Door Reh k B Apko DIL Se DUA De.

Aapke Liye

SITARON Ko Bheja He Apko Sulane Ke Liye,

CHAAND aaya He Lori Gane Ke Liye,

So Jaiyee Mithe Khwaboo Me,

Subah SURAJ Ko Bhejenge Apko Jagane Ke Liye

2010-10-12

Aapke Liye

SITARON Ko Bheja He Apko Sulane Ke Liye,
CHAAND aaya He Lori Gane Ke Liye,
So Jaiyee Mithe Khwaboo Me,
Subah SURAJ Ko Bhejenge Apko Jagane Ke Liye
 

Dua

Jo Log Dosti ko Nibhate Hai,

Aise Logo ko hum Palko pe Sajate Hai

Unhi Se Krte he Raaz ki Bate,

Jo Humari khatir Apne Hath Dua ke Liye Uthate Hai

2010-10-10

Colorful

Dil Sapno Se Houseful Hai
Pure Honge Ye Doubtful Hai
Is Duniya Me Har Cheez Wonderful Hai
Par Zindagi hee bohut Colourful Hai!!!!!

2010-10-07

Aadat

Sab se ghul mill jaane ki aadat hai humen,
Apni alag pehchan banane ki aadat hai humen,
Jitna koi gehra gam deta hai,
Utna hi meetha muskurane ki aadat hai humen.!!!!

Dosti

Lafz aap do geet hum banayenge.....
Manzil aap pao rasta hum banayenge..
....
Khush aap raho khushiya hum dilayenge..
....
Aap bas sub dost bane raho dosti hum nibhayenge.
........

2010-10-06

Dard

Dard ko na dekhiye dard se
Dard ko bhi dard hota hai
Dard ko bhi zaroorat hai pyar ki
Aakhir pyar mein dard hee toh hamdard hota hai..

2010-09-30

Zamana

Sabse alag sabse nayare ho aap
Tareef kabhi puri na ho itne pyare ho aap
aaj pata chala ki zamana q jalta hai humse
Qki dost to akhir hamare ho aap

2010-09-29

Intezar

Nazar Chahti Hai Didar Karna,
DiL Chahta Hai unse Baat Karna,
Kya Sunau Apne DIL Ka Aalam unko,
Mere Nasib Me Likha Hai
Sirf unka Intezar Krna

2010-09-28

Waqt

Waqt Har Cheez Mita Deta Hai,
Kuch Hasin Lamho ko Bhula Deta Hai
Par Nahi Mita Sakta Aapki Yaade
Qki Waqt Khud Hi Apki Yaad Dila Deta He

2010-09-27

Misal

Kam karo Aisa ki Pehchan Ban Jaye
Har Kadam Aisa Chalo ki Nishan Ban Jaye
Yaha Zindagi To Sabhi Kat Lete Hai
Zindgi Jiyo Aisi ki Misal Ban Jaye.

2010-09-26

Anjan

Wo Surat Meri Jaan Bani Rahti hai
Pyar Uska Meri Pahchan Bani Rahti hai
Yaad Karte hai Hum use Kitni Siddat se
Janti hai wo Mgar Anjan Bani Rahti hai

2010-09-23

Tang

Ristey Banaye hain to nibhaye jao
Har pal apno ko hasaye jao
Pata nahi kisi ko fursat hai ya nahi; yaad karne ki
Khud tang kar kar ke apni yaad deelao

2010-09-22

SACHI-BAAT

Duniya Ka Har ek Insaan Apne Paav Bhigoye Bina
Shayad Samundar Paar Kar Sakta He
Lekin Aankhe Bhigoye Bina
"Pyar" Nahi Kar Sakta

2010-09-21

Saaye ki jagah

Chahe pyar Kitne Bhi Dur Rahe
pyar Ke Silsile Kabhi Na Kam Honge
Jab Bhi Lage Tum Taklif me Ho
Palat Kar Dekhna
Tumhare Saaye Ki Jagah hum honge

2010-09-20

Apne

Tum Mujhe Yaad Aane Lage Ho
Meri Neendo Ko Churane Lage Ho,
Malum Nahin Mujhe Kya Ho Gaya Hai
Jaante Nahin Tumhe Fir Bhi Apne Lagne Lage Ho.

2010-09-19

Daga

Daga De Jaye Use Yar Nahi Kehte
Khushi Na De Use Bahar Nahi Kahte
Bus Ek Baar Dhadakta Hai Dil Kisi Ke Liye
Jo Dobara Ho Use Pyar Nahi Kehte.

2010-09-16

Nazar

Apne chehre se jo zahir ho chupaye kese
Teri marzi ke mutabik nazar aaye kese
Kahkaha ankh ka bartav badal deta hai
Hansnewale tuje ansu nazar aaye kese

2010-09-15

Baato mei

Apnapan sikha ke juda ho Gaye
Na socha Na samja Khafa ho Gaye
Duniya me ek baar humne kisi ko apna kaha
to Vo B logo ki baato me akar bewafa ho Gaye

2010-09-14

Pyar

Taj to banvaya shahjahan ne mumtaj ke liye
Par sirf Taj hi to pyar ka izhar nai hota
Jo log Taj nai banva sakte
Kya unka pyar pyar nai hota??

2010-09-13

Pehchan

Mere pyar ko apna ker to dekhiye
pyar ke is andaz ko Pehchan kar to dekhiye
Apke Dil me kahi hum bhi hoge
Dil ki gehraiyo me jhank kar to dekhiye

2010-09-12

Dost

Zindgi bhi hum apni khushi se lutade
Agar khuda hamari umar apko lagade
Or khuda se chahte kuch bhi nahi
Bas har janam me apko hamara dost bana de

2010-09-09

Baarish mai

Barish Mai Yado Ke Khamoshi Barse
Naino Mai Jo Dukh Hai Ashko Ko Tarse
Lafz Bhe Baibas Dil Bhe Khamosh Hai
Ankhe Koi Baat Karne Ko Tarse

2010-09-08

Dukan

Umar kya kahu kafi nadan hai meri
Sabse has ke milna pahchan hai meri
Apka dil zakhmo se bhara ho to hamse miliye
Dilo ko repair karne ki dukan hai meri

2010-09-07

Jaan

Zindagi kuch is tarah basar hoti
Har khushi mera humsafar hoti,
Tum mere safar ki manzil ho ae JAAN
Kaash tumko bhi Thodi Si Ye khabar hoti

2010-09-06

Dhadkan

Uski Yaad Me Sari Raat Gujar Jati Hai
Uske Liye Ye Meri Ankhe Bhar Aati Hai
Muskil Hai Usko Ye Kahe Pana
Ke Tere Bin 'Dhadkan' Bhi Tham Jati Hai

2010-09-05

Shiqayat

Kabhi uski wajah se palko pe ansu hai
Kabhi mere lub pe usi ki shiqayat hai
Magar na jane ae zindagi phir bhi
Mujhe usi se Q mohabbat hai

2010-09-02

Parchai

Gum ki parchai ho ya ansuo ki barsat
Rahegi apni dosti aur apna saath
Na rahenge hum duniya me to na hona udas
Bate karenge sapno me jab aayegi raat

2010-08-30

Apnapan

Koi-Koi Shaks Itna Khaas Hota Hai,
Nazaro Se Dur Par Yadon Me Pass Hota He,
Kabhi-Kabhi Hi Aata Hai Paigam Unka,
Par Har Paigam Se Apnepan Ka Ehsas Hota he

2010-08-29

Pareshan

Dil Jab bilkul tut jate hai to apko yad karte hai
Apna samaj kar dil ki har baat karte hai
Nadan samaj ke maf karna
Jab anjane me kabhi apko pareshan karte hai

2010-08-26

Gehra

Waqt Ab Bhi Dosti Ka Thehra To Nai
Hum Se Behtar Koi Or Chehra To Nai
Sunte Hai Ye Samnadar Gahra Bahut he
Par Hamari DOSTI Se gehra to nai

2010-08-25

Kismat

Mai Dekh Ke Is Kadar Muskrata Hu
Mai Majburi Se Tumari Galiyo Me Aata Hu
Ise Tum Meri Khata Na Samjna
Mai Apni Soyi KISMAT Jagane Aata Hu

2010-08-24

Yaad

Dil ki dhadkan Apka hi geet gati he
Har saans aapka naam lekar aati he
Kitni hamdardi he apki yaado ko hamse
Dekhti hai tanha to khud hi chali aati he

2010-08-23

Saccha

Saccha Pyaar hamesha
Galat Insaan Se hota he,

aur

Jab Sacche Insaan Se hota he
tab Galat Waqt pe hota hai

2010-08-22

Miss

Har Kisi Ke Liye Hum Wish Nahi Karte
Ye Baat Hum Yahi Par Finish Nahi Karte
Agar Kabhi Humara msg Na Aaye To
Ye Mat Sochna Ki Aapko Hum Miss Nahi Kar

2010-08-19

Umarbhar

Na Hum Bhule He Na Aap Bhul Paenge
Gardish Me Hum Bhi zarur Nazar Aayenge
Mumkin Nahi Har hai Mod Pe Milna
Par Aapse Pyaar 'UmarBhar' Nibhaenge

2010-08-18

Suraj

Apni Kamyabi Ke Josh Me,
Madadgaro Ko Na Bhool Jana.
Jinhen Diya Tak Naseeb Na Ho,
Unke Liye Sooraj Ban Ke Aana

2010-08-17

Qaidi

Me use rakhu Dil Me Dharkan ki tarha
Wo bhi Apni Ankh ka kajal Bana le muje
Mai Chahu Wo sirf meri hi rahe
Wo Bhi Apni zulfon ka Qaidi Bana le muje

2010-08-16

Mat Karo

Har kisi par itna aitbar mat karo
kisi ki chahat me dil bekar mat karo
ya to hausla rakho dard sahane ka
ya fir kisi se pyaar mat karo

2010-08-15

Aur Tum

Likhta hu main dil ki baat,
Padh kar inkaar Na karna,
Main To tumhare siwa jee nahi sakta ae JAAN
Aur Tum Bhi kisi Or se pyaar Na karna

2010-08-12

Maksad

Zindgi Ka Aur Kuch Na Erada He,
Hamesha Tera Sath Dene Ka Wada He,
Sath Tera Ho To Sab Kuch Hai Posible,
Warna Zindagi Jine Ka Maksad Hi Aadha He

2010-08-11

Dur

Dur baitha koi Apka sapna bun raha he
Baago se wafa ke phool chun raha he
Aap kya jano uske dil ka haal
Ek wo he jo dur hokar bhi apki dhadkan sun raha he

2010-08-10

Na Kaho

Har ek Chehre ko Zakhmo ka Aaina na Kaho.
Ye Zindgi to ha Rehmat ise Saza na Kaho
Na jane wo kon cee Majburio ka Qedi ho.
Wo Saath Chor Gaya Bewafa na Kaha

2010-08-09

Koi

Sunnta hai Dharkano ki Awaz koi koi
Or jan sakta hai dil k raaz koi koi
Milte he bahut se log is dunya main
Magar bannta hai sacha dost koi koi

2010-08-08

Talukat

Itny Bhi Talukat Na Banaye Koi
Aankh Bhar Aye Jab Hath Churaye Koi
Qurban Kar Denge Jaan Be Apni
Kuch Dair Tak Sath To Nibhaye Koi

2010-08-05

Zindagi

Tum Hoge Naraj To Jyada Sataunga
Tum Khayalo Se Thakoge To Sapno Ma Aaunga
Mene Likhdi Hai ZINDAGI Tere Naam
Dekh Lena 1 Din Tujse Bhi Likhaunga

2010-08-04

Bekhudi

Kisi ki bekhudi mujhe sone nahi deti
Khud mujhe apni khabar hone nai deti
Uske pyaar ki aisi hai khushbu
Jo Mere dil par kisi aur ka asar hone nahi deti.

2010-08-03

Jarurat

Hume Jarurat He Aaj Sanso Se
Jyada Apki
Jese Hoti He Har Sangeet
Ko Rag Ki
Kash De Sakte Sabut To Jan Pate
Kya Ahmiyat He Humari Zindagi Me Apki

2010-08-02

Vaada

Aaj Roshan Fir Mere Rukhsar Ho Jay
Chalo Is Tanhayi Mein Fir Pyar Ho Jay
Mere Sine Se Lag Jao Pehle Ki Tarah
Fir Se Ek Bar Vada-O-Ikrar Ho Jay

2010-08-01

Pyar

Pyar karna koi gunah nahi hota
Pyar se pavitra koi jazbat nahi
Pyar ka rista is liye chupana padta he
Kyoki sacha pyar logo se bardast nahi hota

2010-07-29

Dost

Dost 1 aisa 'Chor' hota hai jo.

Ankho se AANSU
Chehre se PARESHANI
Dil se MAYUSI
Zindagi se DUKH
Aur hatho ki lakiro se MAUT
Tak chura leta

2010-07-28

Yeh Dil

Raat Bhar Yaad Koi Aata He,
Waqt Mera Aksar Aise Hi Guzar Jata Hai,
Khushi aur Gum Dono Me Nazar Aata Hai,
Q ke yeh dil kisi ko bhul nahi pata hai.

2010-07-27

Ishara

Mere Pyar Ka Imtihan To Lia Hota
Khud Ko Sabit Krne Ka Moka To Dia Hota
Tod Ke To Chand Bhi La Ke De Dete
Ek Bar Aasman Ki Or Ishara To Kia Hota..

2010-07-26

Raasta

Door Rehkar b Vasta rakhna
Mulakat na Sahi Per Baato Ka Silsila rakhna
Chhulo Aasma Ko Tum Ye Tamnna hai
Per Hum tak Wapas Aane ka rasta b rakna

2010-07-25

Mulakaat

Tere Gaamo ko Apni Rooh me Utar Lu,
Zindagi Teri Chahat ke Rang me Sanwaar Lu,
Mulaqat ho Tujse Kuch is Tarah,
Ke Tamam Umar ek Mulakat Me Guzar Du.

2010-07-24

Aye Khuda

A Khuda Meri Pyar Me Kuch Aaisi Baat Ho
Main Sochu Usko Or Vo Mere Pass Ho
Meri Sari Khusiyan Mil Jayen Usko
Ek Lamhe Ko Bhi Vo Ager Udas Ho

2010-07-22

Tukda

Apki kami se Dil mera Udas hai,
Par mujhe to apse milne ki Aas hai,
Zakhm nahi par Dard ka Ehsas hai,
aisa lagta hE jaise Dil ka 1 Tukda apke Paas Hai

2010-07-21

5-star

"KIT-KAT" ka swad ho Aap.
"DAIRY-MILK"ka ehsas ho Aap.
"MILK-CAKE" Se bhi jyada khas ho Aap.
Kher jo bhi ho,
mere liye to
"5-STAR" ho Aap.

2010-07-20

Khwab

Apni neend se hume
isiliye pyar he..
Qki unhone kaha tha hume
pana tumhare liye sirf ek khwab he.

2010-07-19

Ishq

Ishq wahi jo ek tarfa ho,
Izhar-e-ishq to khwahish he
He agar ishq,
To Ankhon me dikhavo,
Zuba kholne se ye numaish ban jata he.

2010-07-18

Bano

Kisi B Insan Ki Khushi Ka "KAARAN" Bano,
Khushi Ka "HISSA" Nahi....
Aur Kisi B Insan K Dukh Ka "HISSA" Bano,
Dukh Ka "KAARAN" Nahi.... !!

2010-07-15

Bina..

Dil Dhadkan ke Bina
Jism Rooh ke Bina,
Insan Chahat ke Bina
Husan Tareef ke Bina
PhooL khushbo ke Bina,
Aur
Hum Udaas Hai Aap ke Bina.

2010-07-14

Shaan

Teri muskurahat meri pehchan he,
Teri khushi meri Jaan he,
Kuch bhi nahi meri jindagi,
Bas itna samjh lena ki tera Sath hona meri shaan hai

2010-07-13

Aana

Door Nigahon Se kahi Mat Jana
Zindgi Me Hume Bhool Na Jana
Zarurat Ho Jab Bhi Aapko Humari
Khuli He Baahen Chale Aana

Cheen leta

Hui hogi koi bhool mujse jiski mili hai muje saja
Agar wo bhul ko tu maaf kar deta to tera kya jata
Jab nahi thi daman me mere teri khudai
To inn sasson ko cheen leta to tera kya jata…

2010-07-12

Rakh

yaad aayegi hamari , kabhi bhi na aapko,
yadon ke samandar me dubane ke liye rakh
tu rakh to sahi kisi tarha , apne paas
paas nahi to door bhagane ke liye rakh

2010-07-09

Kya jata

Ey Khuda ..
Ye dharti ye asmaan sab tera hai
Ek aashiya muje bhi dilata to tera kya jata
Sabki jholi bhari hai kushiyo se
Ek choti si kushi mangi, wo agar deta to tera kya jata

2010-07-08

Tumhare

Sukhe patte se pyar kar lenge,
hum tuj par aitbaar kar lenge,
tum yeh to kaho hum tumhare hai,
hum zindagi bhar intezaar kar lenge

2010-07-07

Lagta hai

Kabi lagta hai main nadiya hu…. Jo jindagi me aansu bahe jaa rahe hu
Kabhi lagta hai main tara hu… jo dusro ki kushi k liye tim timaye jaa rahi hu
Kabhi lagta hai main dharti hu… jo jindagi ka bojh uthaye jaa rahi hu
Par main to ek jinda lash hu… jo pyar bina jindagi bitaye jaa rahi hu

2010-07-06

Jakhm

ham janate hen aap hame bhool jayenge ,
dil me apne , bhuli hui yaadon ki tarah rakh.
nafrat jo , aapko he hamse buri taraha ,
seene me apne jakhm jagane ke liye rakh

2010-07-05

Dard

Duniya khatam hoti nahi mamuli toofano se,
Isse to qayamat chahiye.
Mehsoos nahi hota hai mujhe apna gum,
Hume to zamane ka dard chahiye.

2010-07-02

Barbaad

Dil ki choton ne jab kabhi chain se rehne nahin diya
Jab chali sard hawa maine tujhe yaad kiya,
is ka gum nahin hai ki tune kiya dil barbaad,
is ka gum hai ki bahot der mein barbad kiya

2010-07-01

Zaalim

Mat dekh mere sabar ki inthan ,
tu satale sitamgar tere satane ki hadd jahan tak hai
tumse rehmo karam ki umeed hogi jinhe hogi,
hum to dekhenge aai zalim tu zalim kahan tak hai..

2010-06-30

Guzra

Jaan se bhi zyada unhein pyar kiya karte the,
Yaad unhein din raat kiya karte the,
Ab un rahon se guzra bhi nahi jata,
Jahan baith kar un ka intezaar kiya karte the.

2010-06-29

Mehboob

Dil Cheer Ke Dekh Lo Mera,
Tasveer Usi Ki Hogi,
Kabhi Hille Agar Is Dil Ke Darwaje,
Toh Aahat Usi Ki Hogi.
Pyar Ka Jazba Bhi Kya Khwaab Dikha Deta Hai
Ajnabi Chehre Ko Mehboob Bana Deta Hai !!

2010-06-28

Wah Wah

Yeh ishq, pyaar aur mohabbat sab kitabon ki baate hain,
jisne samjha hai dard yaaron , wahi to shayar hai...

Dil ke chalon ko jab koi shayeri kahe to koi baat nahin,
taklif to tab hoti hai jab log wah wah karte hain...

2010-06-25

Jaan

Log ishq mein jaan dene ki baat karte hain,
Magar deta koi nahi.
Hum to hatheli per jaan liye ghoomte hain,
Kambakht koi maangta hi nahi.

2010-06-24

Sansoo

Meri chahtain tum se alag kab hain....
Dil ki battain tum se chuppi kab hain....
Tum sath rahoo dil main dharkan ki jagga...
Phir zindagi ko sansoo ki zaroorat kab hai...

2010-06-23

Raah

yar ki baat naa karo aye dosto,
Bahoot hi jakham khaaye hai humne ismein.
Iski raah mein chal kar to dekho dosto,
Kaante hi kaante bichhaye hai khuda NE ismein.

2010-06-22

Baap

Dil ka dard dil todne wale kya Jane,
Pyar ke rivazon ko zamana kya Jane,
Hoti hai kitni takleef ladki patane mein,
Ye ghar pe baitha ladki ka baap kya jaane.

2010-06-21

Tabeez

Teri dosti mein khud ko mehfooz maante hain,
Hum doston mein tumhe sabse azeez maante hain.
Teri dosti ke saaye mein zinda hain,
Hum to tujhe khuda ka diya hua tabeez maante hain.

2010-06-18

Pyar

Bolti hai dosti, chup rehta hai pyar.
Hasati hai dosti, rulata hai pyar.
Milati hai dosti, juda karta hai pyar.
Phir bhi kyun dosti chodkar log karte hain pyar??

2010-06-17

Khushi

Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin,
Bhool aaye hum apni takdeeren kahin.
Agar mile tumko kahin to utha Lena,
Mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja Lena.

2010-06-16

Saath

Kadam kadam pe baharon NE saath chhoda,
Zaroorat padne par yaaron NE saath chhoda,
Vaada kiya sitaron NE saath dene ka,
Subah hone par sitaron NE bhi saath chhoda

2010-06-15

Intezaar

Kabar ki mitti utha ke Le gaya koi,
Isi bahane humein choo kar chala gaya koi,
Tanhayi aur andhere mein khush they hum,
Lekin phir se intezaar karne ki wajah de gaya koi.

2010-06-14

Milna

Sabhi ko sabh kuch nahi milta,
Nadi ki har lehar ko sahil nahi milta,
Yeh dil walon ki dunia hai dost,
Kisi se dil nahi milta to koi dil se nahi milta

2010-06-11

Tanhai

Tanhai bhari zindagi ka safar mila;
Na saathi, na humsafar mila.
Hum diya jalta chhod gaye the unke liye;
Jab vapis lote to jalta hua ghar mila.

2010-06-08

Humne

Teri berukhi ko bhi rutba diya humne.
Pyar ka har farz Ada kiya humne.
Mat soch ke hum bhool gaye hain tujhe;
Aaj bhi khuda se pehle tujhe yaad kiya humne.

Source: Internet Friend

2010-06-07

Aansu Bahane ko

Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko,
Chale jayenge jab hum kabhi na vapas aane ko.
Chalega mehfil me jab zikr hamara koi,
To tum bhi tanhayi dhundoge aansu bahane ko.

Source: Internet Friend

2010-06-05

Tera Naam

Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum,
Bas yahi ek Wada nibha payenge hum.
Mita denge khud ko bhi jahan se lekin,
Tera naam dil se na mita payenge hum..

Source: Internet Friend

Chahat

Woh nadiyan nahi aansu they mere,
Jinpar woh kashti chalate rahe.
Manzil mile unhein yeh chahat thi meri,
Isliye hum aansu bahate rahe.

Source: Internet Friend

2010-06-04

Aapne

Hamara har lamha chura liya aapne,
Aankhon ko ik chand dikha diya aapne.
Hamein zindagi to di kisi aur Ney,
Par pyaar itna dekar jeena sikha diya aapne.

Source: Internet Friend

2010-06-02

Bahane

Is kadar hum yaar ko manane nikle,
Uski chahat ke hum deewane nikle,
Jab bhi use dil ka haal batana chaha,
To uske hothon se waqt na hone ke bahane nikle...

Source: Internet Friend

Palke

Ummido ki shama dil me mat jalana,
Is jahan se alag duniya mat basana,
Aaj bas mood me tha to MSG kar diya,
Par roj intezar me palke mat bichana!

2010-05-28

Beintaha

Hum Unse Beintaha Mohhabat Karte Rahe
Aur Wo Hamare Pyar Ko Samaj Na Sake
Hum To Chahat Ke Sagar Me Doobe Rahe
Par Woh Hamare Pas Kabhi Aa Na Sake..

2010-05-27

Sikh le

Chhoo Le Asmaan, Zamin ki Talash Na kar
Gee Le Zindagi, khushi ki Talash Na kar
Taqdir Badal Jayegi Apne Ap Hi Dost
Muskurana Sikh Le Wajah ki Talash Na kar

2010-05-26

Teri Yaad

Teri Yaad Dil Bekarar Karti Hai
Nazar Talaash Tujhe Baar-Baar Karti Hai
Gila Nahi Jo Tum Dur Ho Hum Se
Teri Judayi Bhi Humse Pyaar Karti Hai...

2010-05-25

Maang lo

Pyar Se Chahe Armaan Maang Lo
Ruthkar Chahe Muskaan Maang Lo
Bus Tamana Ye Hai Ki Na Dena Kabi Dhokha
Fir Haskar Chahe Jaan Hi Maang Lo

2010-05-24

Uski...Chahat

Uski Chahat Se Ikrar Na Karte
Uski Kasmo Ka Aitbar Na Karte
Agar Pata Hota Hum Sirf Mazak Hai Unke Liye
Kasam Se, Jaan De Dete, Par Pyar Na Karte.

2010-05-21

Yaad mein

Aaj bheegi hai palke kisi ki yaad me,
Aks bhi simat gaya hai apne aap me,
Oas ki boonde aise bikhri hai zameen par,
mano chand bhi roya hai unki yaad mein..

2010-05-20

Dost

Jitni Dosni Payi he Apse
usse Zyada Paane Ko Dil Chahta Hai
Jane Wo Konsi Khubi He Ap Me Ki
Apko Har Zindagi Me Apna Dost Banane Ko Dil Chahte Hai.

2010-05-19

Mera Naam

Ek baar jo gale lag ke rone diya hota,
Humne bhi koi pal mohhabat ko ji liya hota,
tut ke bikher jate aapke kadmo me,
aapki sanson ne mera naam to liya hota..

2010-05-18

Pukara

Hamne Khushiyo Ko Pukara He
Aapka Har Gam Hamara He
Phool Khilte Rahe Jeevan Me Aapake
Kanto Ke Liye Daman Hamara He.

2010-05-17

Tohfa

Tohfa Kya De Tohfa To Hume Mila Hai
Khuda Ne Aap Jaisa Dost Dia Hai
Wo Tohfa Hi Kya Jiska Koi Mol Ho
Tohfa To wo Hai Jo Aap Sa Anmol ho.

2010-05-14

Namumkin

Hum Chahe Bhi To Tuje Bhula Nahi Sakte
Teri Yaadon Se Daman Chhuda Nahi Sakte
Tere Bin Jeena Ek Pal Bhi Namumkin Hai
Tuje Chahte Hai Kitna Bata Nahi Sakte

2010-05-13

Gussa

Maana ke hum bahut Ladte hai
Magar Pyar Bhi Bahut karte hai.
Hamare Gusse ki wajah se Naraj Na ho Jana
Hum Gussa Upar Se Aur Pyar dil Se karte hai.

Maanga

Is Dil Me Pyar Tha Kitna;
Wo Jan Lete To Kya Baat Hoti.
Humne Manga Tha Unhe Khuda Se.
Wo Bhi Maang Lete To Kya Baat Hoti.

2010-05-12

Kuch pal

Tum Bin zindagi suni si lagti hai
Har pal adhuri si lagti he
Ab toh in sanson ko apni sason se jodo lo
Warna zindagi kuch pal ki mehmaan lagti hai

2010-05-11

Palke

Pyar Me Satana Koi Apse Sikhe
intezar Karwana Koi Apse Sikhe
Har Pal Teri Raho Me Palke Bichai Hai Maine
Par Bina Dekhe Guzar Jana Koi Apse Sikhe

Pyaar

Maana Ki Pyaar Ka Pehla Akshar Adhura Hai
Is Pyaar Ke ‘P’ Ko Nikal Do To Yaar Reh Jaata Hai
Aur Aap Jaisa Yaar Agar Saath Ho Mere Yaar,
To Zindagi Se Bhi Pyaar Ho Hi Jaata Hai!!!!

2010-05-06

Doondte

Lafzon mein fasane doondte hai,
Lamho me Zamane doondte hai,
Tum zeher bhi do magar pyar se,
Hum tumpe faana hone ke bahane doondte hai.

2010-05-05

Deedar

Teri dosti se hume pyar hai,
Izhar Hum kar nahi sakte,
Humare liye tu Uss Khuda ki Tarah ho,
Jiska Deedar hum kar nahi sakte.

2010-05-04

Izhar wapas mat lena

Mujhse Apna Pyar Kabhi Wapas Mat Laina
Mujhse Ye Iqrar Kabhi Wapas Mat Laina
Kehte Rehna Har Pal Main Tumhari Hu
Mujh Sai Ye Izhar Kabhi Wapas Mat Laina !!

2010-05-03

Gulab ki khusboo

Zindgi Ka Har Khwab Haqiquat Ban Jaye
Khushi Ke Chirago Se Zindgi Roshan Ho Jaye
Mahak Jaye Zindgi Aapki, Ki Gulab Ki
Khushboo Bhi Aapke Samne Kam Ho Jaye !!  

2010-05-02

Samajh jaane ki baat

Nazaro Ki Aas Kuch Aur Hoti Hai
Kasmo Me Baat Kuch Aur Hoti Hai
kaun Chahta Hai Kuch Kahe na Bin Kahe
Samajh Jane Ki Baat Kuch Aur Hoti Hai !! 

2010-04-29

Kaanch ki chahat

Kanch Ko Chahat Thi Pather Pane Ki,
Ek Pal Mein Tut Ke Bikhar Jane Ki,
Chahat Bas Itni Thi Us Diwane Ki,
Apne Hazar Tukdo Mein Uski Hazar Tasvirein Sajane Ki !! 

2010-04-28

Honewale

Gham Me Hasane Walo Ko Kabhi Rulaya Nahi Jata,
Lehro Se Pani Ko Hataya Nahi Jata,
Hone Wale Ho Jate Hain Khud Hi Dil Se Aapne,
Kisi Ko Kehkar Apna Banaya Nahi Jata !! 

2010-04-27

Teri yaad mein

Dil-E-Aarzoo Ne Dewana Bana Diya
roye The Na Kabhi Par Tune Rula Diya
tujhe Meri Yaad Na Aayi Bhule Se Kabhi
Hamne Teri Yaad Me Zamana Bhula Diya !! 

2010-04-26

Zindagi acchi lagi

Zara Si Roshni Mujh Ko Achhi Lagi,
Mujhe Aap ke Ek Lamhe Ki Hansi Achi Lagi,
Aap Se Baat Ki Jo Ek Roz,
Us Hi Din Se Mujhe Aapni Zindagi Achhi Lagi !! 

2010-04-25

Batana bhi nahi aata

Kya Hai Dil Ki Haalat Bataana Nahi Aata,
Kisi Ko Aise Tadpana Nahi Aata,
Sunna Chahte Hai ek Baar Fir Aawaz Uski,
Magar Baat Karne Ka Bahaana Bhi Nahi Aata !! 

2010-04-22

Tumhe

Teri Yaado Me Jiyenge Marenge
tujhe Apni Palkon Me Chuppa Lenge
Uss Chand Se Hume Kya Lena 

Hum to Is Dharti Ke Chand Ko Seene Se Laga Lenge !! 

2010-04-21

Aadat

Aadat Hai Teri Yaad Ane Ki.
En Aankho ko Teri Ek Zalak Pane Ki,
Hamari To Tamanna Hai Apko Pane Ki
Par Shayad Aapki Aadat Hai Hame Tadpane Ki !! 

2010-04-20

Mohabbat

Mohabbat Har Insaan Ko Azmati Hai
Kisi Se Rooth Jati Hai Or Kisi pe Muskurati Hai
Mohabbat Khel Hi Aisa Hai,
Kisika Kuch Nani Jata Or Kisi ki Jaan Chali Jati Hai !! 

2010-04-19

Tera Naam

Tujhe bhul kar bhi na bhul payenge hum
Bas yahi 1 wada nibha payenge hum
Mita denge khud ko bhi jahan se lekin,
Tera naam dil se Na mita payenge hum....

2010-04-18

Majboor

Meri wafayen hai unki wafayon ke samne
Jaise koi chirag ho hawaon ke samne
Kismat to chahti hai tabaahi meri
Lekin majboor hai kisi ki duaon ke samne

2010-04-16

Nazar

Barso ke baad hoti hai mulaqaat
Fir bhi rehti hai Dil me Dil ke baat
Nazaro se Karna padta hai pyar
Par nazar milane keliye be karna padta hai intezaar

2010-04-15

Yaad

Kya khoobsurat aap ka andaz hai,
Haqeeqat hai ya khawab hai
Khush naseebon ke paas aap rehete ho
Mere paas to bas aapki meethi si yaad hai

2010-04-13

Ghayal

Teri chahat ab meri aankho mein hai
Tera nasha meri sanson mein hai
Mere dil ko jo ghayal kar jaye
Asi ada sirf teri baato mein he hai.

2010-04-12

Madhosh

Socha na tha dilko kuch ho jayega
Sambhala jise ab tak woh kho jayega
Is tarah se Zindagi me aaoge tum
Madhosh ho ke dil tujme hi kho jayega

Aap

Hum aapke pyar ko khone nahi denge
Apko kisi gair ka hone nahi denge
Aap sirf mere ho.. mere hi rahoge
Ek pal bhi khud se juda hone nahi denge

2010-04-11

Aas

Teri umeed ke har aas mit gayi hai
Phir dil tera intezar kare to kisliye ?
Zindagi yun to kat hi rahi hai
Magar phir bhi tere milne ki aas hai kisliye ?

2010-04-08

Aapsa

Dosti ke liye vishwas chahiye
Vishwas ke liye Rishta Chahiye
Rishte ke liye pyaar chahiye
aur
Pyar ke liye ek aapsa dost chahiye

2010-04-07

Zaminpe

Gulshan me khuda ne hazaro phul khilaye hai
Tab jaake hawa ke jhoke mahek paye hai,
Tute hai na jaane kitne khubsurat taare,
Tab jaake humne tumhe zami par laaye hai.

2010-04-06

Madhosh

Socha na tha dilko kuch ho jayega
Sambhala jise ab tak woh kho jayega
Is tarah se Zindagi me aaoge tum
Madhosh ho ke dil tujme hi kho jayega

Deedar

Teri dosti se hume pyar hai,
Izhar Hum kar nahi sakte,
Humare liye tum Uss Khuda ki Tarah ho,
Jiska Deedar hum kar nahi sakte.

2010-04-05

Faana

Lafzon mein fasane doondte hai,
Lamho me Zamane doondte hai,
Tum zeher bhi do magar pyar se,
Hum tumpe faana hone ke bahane doondte hai.

2010-04-01

Chale

Tum ne sambhaala To beDarr hoke hum chale..

Zameen ki dhool se zinDagi banke hum chale..


Deewanepan ki had na poochiye jaNaab..


Tere ishq mein badNaam hoke hum chale.

2010-03-31

Hum chale

Teri yaad mein deeWane hoke hum chale..

Duniya ko bhool masTaane hoke hum chale..


Tu kya jaane is dil ka haAl kya hai..


Hum kya The aur kya hoke hum chale..

2010-03-30

Kone

Tere naam ko honto pe sajaya he mene.

tere ruh ko apne dil me basaya he mene.


dunya tumhen dhondte dhondte ho jaye gi pagal.


dil ke aise kone me chupaya he mene.

2010-03-29

Kasam

Tumhe Dekh Kar Yeh Nigah Jhuk Jaygi

Khamoshi Ab Har Baat Keh Jayegi


Parh Lena In Ankhon Mein Apni Mohhobat Ko

Teri Kasam Saari Kaynaat Wahin Ruk Jayegi.

2010-03-28

Dosti

Dosti naam hai sukh-dukh ke afsaane ka.

Yeh raaz hai sada muskuraane ka.

Yeh pal do pal ki rishtedaari nahi.

Yeh to farz hai umr bhar nibhaane ka.

2010-03-25

Dard

Na wakt hai itna ki sylabus pura kiya jaye

na tarkib koi ki exam pas kiya jaye.

Na jane kaun sa dard diya hai is padhai ne

na roya jaye aur na soya jaye. 

2010-03-24

Kambakht

Shararat na hoti Shikayat na hoti

Nainon me kisi ke Nazakat na hoti

Na hoti bekarari Na hote hum tanha

Agar jahan me kambakht Ye mohabat na hoti

2010-03-23

Saja

Koi acchi si saja do mujhko

chalo bhula do mujhko.

Tumse dosti tute us din maut aa jaye mujhko

dil ki gahraiyon se dua do mujhko.

2010-03-22

Kaanto mein

Sache dil se karo fariyaad to

Duniya ki har ek cheez milti hai.

Jis par khuda ki rehmat ho jaye

Use kaanto me bhi khushbu milti hai.

2010-03-21

Kaash

Ek lamha jo baar baar satata hai

Na jaane yeh dil kya chahta hai.

Kaash aap hote hamari nazron ke saamne

Par yeh kaash kaash hi reh jata hai. 

2010-03-18

Nasha

Ishq aisa karo ki dharkan mein bas jaye

Saans bi lo to khushboo usi ki aaye.

Pyar ka nasha aankhon pe cha jaye

Baat kuch bi na ho par nam usi ka aaye.

2010-03-17

Kismat

Behte aashkon ki zubaan nahi hoti

Lafzon mein mohabat bayaan nahi hoti.

Mile jo pyar to kadar karna

Kismat har kisi par maherban nahi hoti.

2010-03-16

Aasmaan

Is dil ka ik arman hai

ik chand me humari jaan hai.

Jise dur se dekhna to mumkin hai

Par milna kahan aasan hai.

Kyon ki hum to ik zameen hain

Arr Vo ik aasman hai

2010-03-15

Ankhen

Unki ek yaad bechan kar jati hai

Har cheez me unki surat nazar aati hai.

Aisa hal kiya unhone pyar me hamara

Ke nind aati hai to ankhen bura maan jati hain.

2010-03-14

Sab

Tinka-Tinka tufan mein bikharte chale gaye

Tanhai ki gehraion mein utarte chale gaye.

Udte thay jinke sahare aasmano mein hum

Ek-ek karke sab bichadte chale gaye.

2010-03-11

Bhool

Hamari daastan use kaha kubul thi

Meri wafayen uske liye fizool thi.

Koi aas nahin lekin koi itna bata do

Maine chaha use kya ye meri bhool thi.

2010-03-10

Teri Zarurat

Aaj har ek pal khoobsurat hai

Dil main teri sirf teri surat hai.

Kuch bhi kahe ye duniya gum nahi

Duniya se jiada humko teri zarurat hai.

2010-03-09

Muft

Hum to pyaar ke saudagar hain

Sauda sacha karte hai

Par jab aap jaise dost ho khariddaar

To hum muft me bhi bik jaya karte hain.

2010-03-08

Kaynaat

Apko dekh kar ye nigah jhuk jayegi

Khamoshi har bat keh jayegi.

Pad lena in ankhon mei apne pyar ko

Apki kasam sari kaynaat wahi ruk jaegi.

2010-03-07

Nazar

Kuch log zindgi me is kadar shamil ho jate hain

Agar bhulna chaho to aur yaad aate hain.

Bass jate hain wo dil me is kadar

Ke ankhen band karo to samne nazar aate hain.

2010-03-04

Jaam

Jab khuda ne tujhe banaya hoga

Ek aadha jaam to usne bhi lagaya hoga.

Aise hi nashili nahi teri aankhen

Jaam ka kuch asar to tere mein bhi aaya hoga.

2010-03-03

Ek hi kaam

Mohabbat or maut dono hi

Bin bulaye mehmaan hote hai,

Kab aa jaye koi nahi jaanta.

Lekin dono ka ek hi kaam hai

Ek Dil le jati hai to doosri Dhadkan.

2010-03-02

Thokar

Dil unke liye he machalta hai

Thokar khata hai or sambhalta hai.

Kisi ne is kadar kar liya dil par kabja

Dil mera hai per unke liye dhadkta hai.

2010-03-01

Imtehaan

Kyun tumhare is ashiq ka parwano me naam lete ho

Keh kar ke dil doge humari jaan lete ho.

Pata hai nahi rakh sakte hum apni dhadkano pe kaabu

Phir kyun humari mohabbat ka imtehan lete ho. 

2010-02-28

Hosh

Aapki is dillagi mein hum apna dil kho baithe
Kal tak us khuda ke the aaj apke ho baithe.
Pyar suna to tha diwana kar deta hai
Aaj khud karke hum bhi hosh kho baithe

2010-02-25

Nilam

Ishq ne hume benaam kar diya
har kushi se anjaan kar diya
hum ne kahi nahi chaha ke ishq hume bhi ho...
par unki nazar ne hume nilaam kar diya

2010-02-24

Anjaam

aaina kuch nahi nazar ka dhoka hai
nazar wahi aata hai jo dil mein hota hai
aaine aur dil ka ek hi fasana hai
anjam dono ka tutkar bikhar jana hai

2010-02-23

Aap jaise

kuch ehsaso ke saye dil ko chhu jate hai
kuch manzar dil me utar jate hai
bejan gulshan me bhi phul khil jaate hai
jab zindagi me aap jaise dost mil jaate hai

2010-02-22

Sine se

Ek tuta hua shisha hu utha ke rakhlo
kaam aaunga mujhe dil me saja kar rakh lo
meri haalat pe haste hai zamane wale
mujhe apne sine se laga kar rakh lo

2010-02-21

Intezar

mayus mat hona, ye gunah hota hai
milta wahi hai jo kismat me likha hota hai
har chiz mile humko zaruri to nahi
kuch chizo ke intezar me bhi maza hota hai

2010-02-18

Yaaro

Woh mere liye kuch khaas hai yaaro
jinke aane ki aas hai yaaro
wo najro se dur hai to kya hua
banke dil ke dhadkan mere paas hai yaaro

2010-02-17

Sikhlo

Zindagi ko khusi me bitana sikhlo
apne armano ko tum chupana sikhlo
zindagi me kabhi gum chu na payega
bas tum har baat pe muskurana sikhlo

2010-02-16

Zaamin

Gulshan me khuda ne hazaro phul kilaye hai
tab ja ke hawa ke jhoke mehak paye hai
tute hai na jae kitne khubsurat tare
tab jaake aap zamin pe aaye hai

2010-02-15

Kismat

Pyari hai awaaz tumhari
bana do ise kismat humari
mai zindagi me kya chahu
jo mil jaaye mohabbat tumhari

2010-02-14

Dildar

Socha na tha aisa yaar milega
ek muddat ke baad itna pyar milega
hum toh ruswa ho chuke the duniya se
ummed na thi aap jaise dildar milega

2010-02-11

Udas hu

Mere paas to aao ke bahut udas hu
koi kahani sunao ke bahut udas hu
kisi bhi jhute dilase se dil behlao to sahi
bas aaj tut ke chaho ke bahut udas hu

2010-02-10

Saboot

Bikhre rishto ko koi roop dedo
khilte fulon ko thodi dhoop dedo
aapki yaad aayi toh sms kiya humne
aap bhi humari yaad aane ka koi saboot dedo

2010-02-09

Jara

Aaina hoon,mere samne aakar to dekho
khud nazar aaoge , aankh milakar to dekho
dil ki kya baat hai, ye jaan bhi dedu tum par
bas mere sath zara dil se nibha kar to dekho

2010-02-08

Hum

Baat aisi ho ke ehasaas kam na ho
khayalaat aise ho ke gum na ho
dil ke kone me itne si jagah rakhna
ki dil khali-khali sa lage jab hum na ho

2010-02-07

Mulakat

Sabke chehre me wo baat nahi hoti
thode andhere se raat nahi hoti
zindagi me kuch log bahut pyare hote hai
par kya kare unhi se mulakaat nahi hoti.

2010-02-04

Dil me

Aaj bhi ek sawal hai is dil me
pyar ka gam beshumaar hai is dil me
kuch keh nahi pata ye dil
magar kisi ke liye bahut pyar hai is dil me

2010-02-03

Apna

Hakiqat ho tum kaise tujhe sapna kahu
tere har dard ka ab me apna kahu
sab kuch qurban hai mere yaar tujh par
kaun hai tere siwa jise mey apna kahu

2010-02-02

Ek baar

Aapki pyari si zid kaise tod jau
aap sapna dekho aur mein nazar na aau
kuch to baat hai riste mey humare
kya apka dil nahi kehta ek bar mil aau

2010-02-01

Manzil

Sab roop dekhte hai, hum dil dekhte hai
sab sapna dekhte hai, hum haqiqat dekhte hai
farak itna hai humare aur dusro ke bich mey
sab raah dekhte hai, hum manzil dekhte hai

2010-01-31

chaand

is pyar ka andaz kuch aisa hai
kya bataye ki apna haal kaisa hai
kon kehta hai ki tum chand jaisa ho
sach to ye hai ki chand tumhare jaisa hai

2010-01-28

Na Karna

Nasihat hai aapko kuch na karna..
Gusse ke halaat me koi faisla na karna
kuch bhi ho jaaye par
khusi ke haalat me koi wada na karna

2010-01-27

Zero

Kehte he accha dost maths ke zero jaise hota hai
jis ki waise to koi keemat nahi hoti
par wo jiske sath jud jaye
uski keemat 10 guna badh jaati hai

2010-01-26

Hosh

Raat chup hai magar khamosh nahi
kaise kahu ke aaj phir hosh nahi
aise duba hu teri baato ke gehrai me
ankho me neend he magar sone ka hosh nahi

2010-01-25

Qismat

Jise chaha kaash wo humara hota
khwaish ka bhi koi kinara hota
yeh soch kar usko roka nahi
door hi kyu jata agar wo humara hota

2010-01-24

Shaam

Din dhal chuka hai sham jaa rahi hai
yeh raat bhi dekho hum pe hase jaa rahi hai
har waqt tanhai khamosi sata rahi hai
kehna sirf ye hai apki yaad aa rahi hai

2010-01-21

Kayenat

apko dekh kar ye nigahe jhuk jayegi
khamoshi ab har baat keh jayegi
padh lijiye in ankho me apni mohabbat
aap ki kasam sari kayenat ruk jayegi

2010-01-20

Anjaan

naadan hai wo, hairan hai wo
khud k hi sawaloon se pareshan hai wo
koi bataye unhe k pyaar kya hota hai
qki sacche pyar se abhi anjan hai wo

2010-01-19

Izhaar

Ho sake to pyar ke etbar karke dekho
phir lafzo se iqrar karke dekho
junoon ki had se aage nikal jaunga
sirf ek baar hum se izhar kar ke dekho

2010-01-18

Duri

Teri chahat me judai sahi nahi jati
aa sama ja meri bahon me meri jaan
ek pal bhi duri sahi nahi jaati

2010-01-17

Apke bina

Apne dil ki baat unse keh nahi sakte
bin kahe jee nahi sakte
ae rab aise taqdeer bana,
woh humse khud kahe,
hum apke bina reh nahi sakte

2010-01-14

Kho baite

do hi lafzo ka tha wo afsana
jo suna kar khamosh ho baithe
ibteda ye ke tumko chaha tha
inteha ye ke khud ko kho baite..

2010-01-13

Bhul jaoge

Kab tak khud ko rok paoge
bina mere aap na reh paoge
hum bus jayenge yadon mei aapki is tarah ki
phir aap dusro ko yaad karna bhul jaoge

2010-01-12

..Ke baad

Kab niklta hai koi dil mein bas jaane ke baad
dard kitna hota hai bichar jaane ke baad
jo paas hota hai uski kadar nahi hoti
kami mehsus hoti hai dur jaane ke baad

2010-01-11

Diye

jo mere saher mein roshni laye honge
un diyo ne bhi kitne ghar jalaye honge
haath uske bhi hue honge zakhmi
jisne kaante meri raho me bichaye honge

2010-01-10

Baazi

Raat dhali sitaare chale gaye
koi aur mila aap hume bhulate chale gaye
dosti ki baazi jeet to hum be sakte the
par apki khushi ke liye harte chale gaye

2010-01-07

Sehne do

aansu jo beh rahe inhe behne do
yeh keh rahe dil ki baat kehne do
hume mila hi kya tumhe chahne ke baad
bus dukh hi seh rahe hai hume sehne do

2010-01-06

Baharwali

Woh ped  kya jis me dali na ho
Woh bagh kya jis me mali na ho
Woh ghar kya jis me gharwali na ho
aur woh mard kya jiske bahar wali na ho

2010-01-05

Taarif

Tujh pe likna shuru kaha se karu
Ada se karu ya haya se karu
tu to itna khubsoorat hai aye dost
mumkin hi nahi ke teri tarif zuba se karu

2010-01-04

Balance sheet

Jindagi - Sales hai
Rishte - Target
wife - Daily reporting
Aulad - Incentive hai
Jawani - commitment
budhapa - achivement
maut - promotion
Lekin
dosti - Net Profit

2010-01-03

Hasratein

dard mein chahat nahi sitaro ki
tamannaye adhuri hai hazaron ki
wo waqt se pehle hi tera chale jaana
hasratien hi reh gayi tujhe gale lagane ki