2009-12-31

Dil ne

Dil ne dhadkan ko pyar se paas bulaya
pyar kya hota hai khub samjhaya
pyar ki galiyon se roobaru karvaya
pyar ki murat batakar apka chehra dikhaya

2009-12-30

Ajnabi

karta raha fareb koi, saadgi ke saath
itna bada mazaak meri zindagi ke saath
shaayad mili saza is jurm ki mujhe
ho gaya tha pyar mujhe 1 ajnabi ke saath

2009-12-29

Roz

Roz kisi ka intezar hota hai
roz yeh dil bekarar hota hai
kash ke koi samaj pata ki
chup rehne walo ko bhi kisi se pyaar hota hai

2009-12-28

Roshan

apne hoothon par sajaa kar tujhe
hum tere hi geet gaana chahte hain
jal kar bujh jaana humari kismat sahi
bas ek baar roshan hona chahte hai

2009-12-27

Saath

Jo koi samaj na paye vo baat hu
jo dhal ke nayi subah laye wo raat hu
chale jaate hai log is duniya se rishte banakar
jo kabhi chod ke na jaye wo saath hu

2009-12-24

Inkaar

teri yaad ne bura haal kar diya
tanha mera jeena muhaal kar diya
socha jo tumhe yaad na kare
dil ne dhadkane se inkaar kar diya

2009-12-23

Kahat Kabir

Miss you miss you sab kahe
par actually miss kare na koe
Kahat kabir...
agar koi kisi ko really miss kare
to sms/mail aane band que hoe.

2009-12-22

Kasam

tanhai ka mausam hai
hum hai aur saath mein gum hai
bas yeh sochkar muskura diya karte hai
kisini kaha tha haste rehna
'Tumko humari kasam hai'

2009-12-21

Toofan

soch ko apni lejao us shikar par
taki us ke aage saare sitare zuk jaye
na banao apne safar ko kisi kashti ka mohtaj
chalo ese shaan se ke toofan bhi ruk jaye.

2009-12-20

Andaz

Un lamho ko bura mata kaho
ju tumhe thokar pahuchate hai
balki un lamho ki kadar karo
que ki wo tumhe jeene ke andaaz sikhate hai

2009-12-17

Parda

meri sanso se tum shikwa karte ho
chup chup ke chahat ka sauda karte ho
tum hi socho ye kaisi majburi hai
mujh me reh kar mujhse hi parda karte ho

2009-12-16

Likha nahi

tum roothe ho humse, koi shikwa to nahi
lekin ye tareeka koi accha to nahi
na jaane, jaan gaya kaise jamaana
mene to tera naam kahi likha hi nahi

2009-12-15

Sari Umar

rishto me duria mit jayegi
ehsas ki dunia simat jayegi
hamko yaad kar k hi palak band karna
phir sari umar apki hasin khawabo me kat jayegi

2009-12-14

Rona

Dosti me tadapna bhi zindagi hai
aur gamo ko sehna bhi zindagi hai
Yu to rehti he har waqt hontho pe muskarhat
par shayad chupke se rona bhi zindagi hai

2009-12-13

Jodi

Mere ghar ke samne se bhagi ek ghodi...
Mere ghar ke samne se bhagi ek ghodi...
phir bhaage tum aur...
Rab ne bana di jodi..

2009-12-10

Aise dost

Khusi ko dhundne se gum milte hai
yeh gum zindagi me hardam milte hai
jo dilke saare dard baandh le
aise dost zindagi mein kam milte hai

2009-12-09

Aapki yaad

Har raat ek dhun gunganati hai
har phool se mahak jarur aati hai
apke mann me khayal tak na ho
par hume har waqt apki yaad aati hai.

Mohtaaj

kisiki yaad kabhi raaz nahi hoti
waqt ke pahiye mein aawaz nahi hoti
jane kis pal kisi ki yaad aa jaye
qki yaade kisi bahane ki mohtaaj nahi hoti

2009-12-08

Jawab

agar jawab doge to baat karenge
nahi doge to intezaar karenge
dosti kii hai aapse
isliye marte dum tak yaad karenge

2009-12-07

Yaad

kuch log yadon ko dil ki tasvir banate hai
dosto ki yadon mein mehfil sajate hai
yeh hum ek alag hai jo kisi ko
yaad aane se pehle apni yaad dilate hai..

2009-12-04

Tere bin

dil mein baj rahe hai taar tere naam ke
ankho me hai sitare tere naam ke
ek baar meri taraf mudar toh dekho
tum bin hum nahi hai kuch kaam ke

2009-12-02

Qabool Hai

sabne kaha dost ek dard hai
humne kaha dard qabool hai
sabne kaha ke dard ke saath ji na paoge
humne kaha ke dosti ke saath marna qabool hai

2009-12-01

Majboori

Tute khwabo ki tasvir kabhi puri hoti hai
chand tare ke bich mei bhi to duri hoti hai
dena to hume khuda sab kuch chahta hai
par uski bhi shayad kuch majburi hoti hai

Nigaah

khamos si ankho mein nami hoti hai
jab teri yad aati he, toh kuch aise aati he
ankhe band karke jo gahrai se sochu to
khamos andhere me bas teri nigah hoti hai

2009-11-29

Tera Saath

Ae dost bata tera naam kya rakhu
khawab rakhu to adhura rahega
dil rakhu to toot jaayega
aa tere naam Zindagi rakh du
maut tak tera saath to rahega

2009-11-26

Bana gaye

Apne karam se wo mera muqaddar bana gaye
qattre ko pal me samundar bana gaye
phoolo se naram tha kabhi dil ye mera
itna tadpaya ke patthar bana gaye

2009-11-25

Badal jaati hai

Nazar badalti hai... wafaye badal jaati hai
meri ada se hawae badal jaati hai
apni mehbuba ko bachalo bhai
meri ek muskaan se premikae badal jaati hai

2009-11-24

Saanso

Hum na ajnabi hai na paraye hai
aapke hi jism-o-jaan ke saaye hai
jab bhi ji chahe mehsus kar lena
hum aapki hi sanso me samaye hai

2009-11-23

Nazar

Fir wahi fasana afsana sunate ho
dik ke paas hu keh kar dil jalate ho
beqaraar hai nazar.. nazar se milne ko
to phir kyon nahi milne aate ho

2009-11-22

Kismat

Khwaab apne hi... hame satane lage
tab man ko.. andhere bhaane lage
kabhi na... saath diya qismat ne
tab hum hi... Kismat ka saath nibhane lage

2009-11-19

Yaad

Teri yaad bhi kya kamal karti hai
kaise humse ye sawal karti hai
ek pak ke liye bhi tanha nahi karti mujhe
teri yaad bhi mera kitna khayal karti hai

2009-11-18

Tum se

Tu chala gaya jese ujar gayi duniya meri
mujhe meri duniya se mila de koi
nahi bharosa apni qismat pe mujhe
meri akhri sansoon tak tum se mila de koi

2009-11-17

Shabnam

Raat ki Chandni intejar mein dhal gayi
Mera tanha dil jala to sama pighal gai
Yeh meri ulfat ki dastan hai pyare
Bahaar aayi magar shabnam ke sath chali gai

2009-11-16

Banaao

Pyaar ko kamzori nahin taaqat banaao....
Rishto ko majboori nahin ebaadat banaao......
Zindgi sirf jeene se kya Hoga..........
har pal har lamhe ko apni Koshish se jannat banaao

2009-11-15

Tanhayee

Mai, mera kamra aur meri tanhayee Beete palon mei kho jaati hai
Woh bachpan ka khelna kudna Kamre ki band char diwari
Bara deti hai meri tanhayee

Mai, mera kamra aur meri tanhayee
Soye armaano ko jaga deti hai
Sochti huin kaya hoga
en dewaron kei peeche
kya unka khokhlapan mujhse
chheen lega meri tanhayee

mai, mera kamra aur meri tanhayee
dam torti ashaon ko jala degi
ya phir ek naya gum nai kalpana tadpayegee
phir sei meri yeh tanhayee

mai mera kamra aur meri tanhayee
apne adhoorepan kae ehsaas ki sachai
bikhrate hue khwabon see uljee zindagi se
kya mujhko bacha legi yeh tanhayee

2009-11-12

Likha he

maine likha he naam uska samandar ki naram ret per,
        kisi leher mein ho dum to use mitakar dikhae,
maine likha he naam uska kore kagaz par,
        koi aakhein ho mahabbat wali to padhkar sunayein,
maine likha he naam uska mere mom se Dil par,
        kisi aag mein ho dum to jalakar dikhae !!

2009-11-11

Kyon

Ik Baar Jeene Ki Saza Kyon Nahi Dete,
Aankh Se Do Ashq Baha Kyon Nahi Dete,
Phool Hain Agar To Daman Mein Bharlo,
Pathar Hain Agar To Raaste Se Hata Kyon Nahi Dete.....

2009-11-10

Tumsa

Na gujarana aaj ke din kisi masjid ke pas se
kahi log chand samajhkar roja na tod de,
Aurr hokar khafa Khuda tumsa kahin,
Husn banana na chhod de.

2009-11-09

Wafa

woh dil hi kya jo waffa na kare,
tujhe bhul kar jiyen khuda na kare,
rahegi teri dosti meri jindagi ban kar,
woh baat aur hai agar jindagi waffa na kare.

2009-11-08

Sapne

Roti Hui Ankho me Inetzar Hota hai,
Na Chahte Hue Bhi Pyar Hota hai,
Que Dekte hai Hum Woh Sapne,
Jinke Tutne Par Bhi Unke Sach Hone Ka intezar Hota hai

2009-11-06

Taj

Ek Ummeed ka Diya jal raha thaa jise Baarish ne bujha diya,
Tanaah akele khushi se jee rahe the kambakht unki Yaad ne rulaa diya..!.!

Ishq ne insan ko kya se kya bana diya kisiko kavi to kisiko katil bana diya
Do phulon ka boj na utha sakti thi Mumtaz Aur Shahjahan ne us per TAJMAHAL bana diya

2009-11-05

Maar diya

Kisi Lutere Ne Nahin-Mujhe To Teri Sadgi Ne Lut liya,
Kisi Waqt Ne Nahin-Mujhe To Tere Intezar Ne Maar diya,
Kisi Khanjar Ne Nahi-Mujhe To Tere Alfazo Ne Zakhmi kiya,
Are Ab to Gussa Chhod De - Mujhe Teri Khamoshi Ne Maar diya..

2009-11-04

Nafrat

pyar itna karo jiski koi hadh na ho
bharosa itna karo ki koi shaq na ho
intezar itna karo ki koi waqt na ho
aur dosti aise karo ke kabhi nafrat na ho

2009-11-03

Nazar

ek lafz mein kya teri taarif karu,
aap lafzon mein kaise sama paaoge
bus itna jaan lo jab log mohhabat ke baare mein puchenge
to meri ankho mein tum nazar aaoge

2009-11-02

Shabnam

raat ki chandni intejar mein dhal gai
mera tanha dil jala to sama pighal gai
ye meri ulfat ki dastan hai pyaare
bahar aai magar shabnam k saat chali gai

2009-11-01

Shama

hum jaise dost hote nahi sabhi ke liye
yeh tofha hai kisi kisi ke liye
qu jala rakha hai shama.. ise bhuja dijiye
kya hum kam hai.. roshni ke liye

sham se chiraagon ko bhuja rakha hai,
kyonki yeh dil hi kaafi hai
teri yaad mein jalne ke liye !!

2009-10-31

Aata hai..

Tum saath na do mera
chalna mujhe aata hai
har aag se waqif hun mein
jalna mujhe aata hai.

2009-10-30

Dhadkan..

yaadon ke sahare duniya nahi chalti
bina mile kavi, mehfil nahi baanti
ek baar dil se pukaro to dost
q ki dosto ke bina yeh dhadkan nahi chalti

2009-10-29

Kitna...

kitna bebas hai insaan apni kismat ke aage,
kitna benoor hai sapna haqueequat ke aage,
koi ruki hui dhadkan se pooche ,
kitna tadapta hai dil mohhabbat ke aage.

2009-10-28

Sazaa

unko hum kya saza de jisne
mohhabat mein mera dil tod diya,
gunaah to humne kiya jo unki
baaton ko mohhabat samajh liya.

2009-10-27

Fariyaad

tanhaiyon mein unhe yaad karte hain,
woh salamat rahe yeh fariyaad karte hai,
unhi ki shayari ka intezaar karte hain,
unhe kya pata hum unse kitna pyaar karte hai.

2009-10-26

Faasle

faasle bahot hai par itna maan lijiye
kareeb reh kar bhi har koi khaas nahi hota
aap khayaalon mein inte kareeb ho ke
faaslon ka ehsaas hi nahi hota

Faasle

faasle bahot hai par itna maan lijiye
kareeb reh kar bhi har koi khaas nahi hota
aap khayaalon mein inte kareeb ho ke
faaslon ka ehsaas hi nahi hota

Teri Yaad

Har Subhah Teri Muskarati Rahe,
Har Sham teri Gungunati Rahe,
DOST tu Jise se bhi Mile,
Her Milane walo Ko Teri Yaad Aati Rahe

2009-10-24

Woh..

Wo ankhon me ashq liye baite hai,
Hum bhi unki pyar me pagal huye baite hai,
Hum toh jaan dene ko bhi tayyar hai,
Magar woh hamari jaan bankar baite hai.

2009-10-23

Koi...

Rishtonki Haqiqath koi kya samjhega.
Dilon ki zaroorath koi kya samjhega,
Unki muskurahat hai toh zindagi hai Hamari,
Uss muskurahat ki keemat koi kya samjhega.

2009-10-21

Aadat

Sapno se dil lagane ki aadat nahi rahi,
har waqt muskurane ki aadat nahi rahi,
ye soch ke ki koi manaane nahi aayega,
ab hume rooth jaane ki aadat nahi rahi

2009-10-20

Kaanto Mein

Kanto main phulonko khilte hue dekha hai,
Tufano main kashtiyonko sambhalte hue dekha hai,
Andhero ko ujalon main dhalte hue dekha hai,
Hamane waqt ke saath logo ko badalte hue dekha hai,
Kanto main phulo ko........

Jab jab bhi aaye kisi ki yaad,
jiske bina dil rahetatha hardam udas,
jab wo aakar mila bahot dino ke baad,
Tab aasuonko bhi kushiyonmain badalte hue dekha hai,
Kanto main phulo ko.......

Apne haq ke liye bar bar insano ko ladate hue dekha hai,
Hamane kai acche logonko buri sangat main padate hue dekha hai,
Budhe lachar Maa Baap se jawan bete aur bahu ko,
zagadate hue dekha hai,
Banate bante kam ko kai bar bigadate hue dekha hai,
Kanto main phulo ko.......

Hamane kai baar apne matalab ke liye,
khun ke rishton ko bhi tutate hue dekha hai,
Apni jeb bharne ke liye dusro ko lootate hue dekha hai,
Aur pakade jane par choro-jebkataronko marte dum tak,
pitate hue dekha hai,
Apne hi desh ke logonko dharm aur jati ke naam pe,
batate hue dekha hai,
Kanto main phulo ko........

BHARAT DESH hai hamara,
Jag main hai sab se pyara,
jab jab bhi kabhi ispar aanch aayee kisiki,
Tab tab desh ke shur-veer jawano ko,
Matrubhumi ki raksha main Amar hote hue dekha hai.

Dhokha

Dhokha Mila Jab Pyar Mein
Zindagi Mein Udaasi Cha Gai
Socha Tha Chod Denge Is Raah Ko Par
Kambhakhat Aaj Mohalle Mein Dusari Aa Gai

2009-10-19

Aaabad

Hasin Palo ko Phir se aabad kar rahe the,
Chand se Aapki baate kar rahe the"
Dil ko bada Sukun mila jankar
ki Aap bhi hame hi Yaad kar rahe the!!

2009-10-18

Tu mili to mili aisi jannat mujhe

Tu mili to mili aisi jannat mujhe
Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

Mit gaye fasley kam hui dooriyan
Khatem honey ko hain saari majbooriyan
Waqt nay baksh di aisi rahat mujhey
Ab kisi aur rahat ki perwah nahi...

Tu mili to mili aisi jannat mujhey
Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

Janey kya kya hamien log kehtey rahey
Rooh tarapti rahi Hans ke sehtey rahey
Jo tere pyaar ney di mohabbat mujhey
Ab kisi bhi mohabbat ki perwah nahi

Tu mili to mili aisi jannat mujhey
Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

Ek muddat isi kash ma kash mein raha
Jis ki thi aarzoo baat wo ban gayi
Khawab lagtey hain saarey haqeeqat mujhey
Ab kisi bhi haqeeqat ki perwah nahi

Tu mili to mili aisi jannat mujhey
Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

2009-10-17

Maa

Jab jab hame pyaas lagti hai,
Unke aane ki aas lagti hai.
Unki deewangi main hum ho gaye itne deewane,
Ki har ladki ki maa apni saas lagti hai.

2009-10-16

Waqt

Lamha lamha waqt guzar jayega,
Chand lamho mein daaman chhod jayega.
Abhi waqt hai do baatein kar lo humse,
Kya pata kal kaun teri zindagi me aa jayega.

2009-10-15

Kora Kaagaz

Hum aapko yaad rahe to thik warna bhula dena,
Hui ho humse koi khata to saja dena,
Hum to ek kore kagaj ki tarah hai,
Kuchh likho to thik warna jala dena.......

2009-10-14

Sahaara

aapse hum tab miley jab aapka koi sahara nahi tha
unn dino hamare bina aapka ek b pal gavara nahi tha
lagta tha hamare rishte ka kabhi kinaara nahi tha
aaj dekhiye kaise badal gaya hai waqt-e-aalam
aapke ghumoon ko to humne churaa liya
kyuki khushiyoon pe to huk hamara nahi tha...

2009-10-13

Dooriyaan

karni thi bahut c baatein
lekin shayad waqt ko nahi tha manjur
muje to kardiya tumse judaa usne
lekin nahi kar payega teri yadoon ko mujse duur...

2009-10-12

Khudaai

apna jisse samjha jab usne ki ruswaai
saath nibhane mere chali aai meri tanhaai
puuchta hu roz uss khuda se ye zindagi muje kaha le aai
jab haste hai sab mere ashkoon par puuchta hu kaha gai ab uski
khudaai...

2009-10-11

Saansein

tumhare saath beetey vo har ek pal
meri yaadein ban gai...
tumhare saath guzre vo har ek din
meri zindagi ban gai...
kaise bhul paaunga un lamhoon ko
kaise rook paunga khudko
kyunki tum to meri sansein ban gai......

2009-10-10

Purane

Jinki yaad mein hum dewane ho gaye,
Wo hum hi se begaane ho gaye.
Shayad unhe talash hai ab naye dost ki,
Kyunki unki nazar men ab hum purane ho gaye.

2009-10-09

Daag

har daag daag nahi hota,
har dost wafadaar nahi hota,
ye to dil milne ki baat hai,
warna saat pheron me bhi pyaar nahi hota

2009-10-08

Yaad

Jaruri nahi doston me baat hoti rahe,
Jaruri nahi ki doston me mulakat hoti rahe.
Jaruri hai bas dost jahan bhi rahe
use hamari yaad aati rahe.

2009-10-07

Chaahat

Kismet se apni sabko shikayat kyon hai,
Jo nahi mil sakta usi se mohabbat kyon hai,
Kitne khade hai rahon pe,
Phir bhi dil ko usi ki chahat kyon hai.

2009-10-06

Judaa

Chand ki raton mein sara jahaan sota hai,
Lekin kisi ki yadoon mein koi badnaseeb rota hai,
Khuda kisi ko mohabbat pe fida na kare,
Agar kare to kisi ko juda na kare?.

2009-10-05

Naseeb

Ishq ke rishte kitne ajib hote hain?.
Door rehke bhi kitne karib hote hain,
Meri barbadi ka gum na karo yaron,
Ye to apne apne nasib hote hain..

2009-10-04

Ruthoo

Yu na rutho Mujse dil sehem sa jata hai
Har pal me tera he to khayal aata hai
Dil to mera sirf sansein leta hai
Lekin zindagi to ye tuje batata hai...

Bhool gaye

Savera kya hua, sitaron ko bhul gaye.
Suraj kya aaya, chaand ko bhul gaye.
Guzre kya kuchh pal humare bina,
Aap hume hi bhool gaye

2009-09-29

Astitva

maine badal se uska astitv pucha
wo phoot phoot baras utha
maine usse kaha tera thikana hai kahan
wo kuch vyakul, kala ho chala

maine pucha tu kis disha se hai aaya
wo mujh per garaj utha..mera mann ghabraya
mund ke aankhen main baith gaya
wo garajta raha barasta rahaa ..ankh khuli to use na payaa
akash ekdam saaf tha
suraj ki sunhari kiran ko dekhman mera muskura utha
suraj bola badal ka hai bas itna sa astitv
tu yuh na ghabra

Gum tumhe dhamkayege pal pal satayege
tu haar kabhi na maan na
chamkile din bhi zindgi me aayege !

2009-09-28

Zindagi

Zindgi ne kya kuch na dikhaya
Thoda Haasaya thoda rulaya
Mauth aati nahi, Umeed thamti nahi
Aye-zindagi !!
Na marna sikhaya na jeena sikhaya!!

2009-09-27

Daastan

Dil mein hai jo dard itna, woh dard kise bataye...
Hanste hue ye jakhm hazaro, dekho hum kaise chupaye !!
kehti hai yeh duniya khush naseeb humein ...
Magar hum apne iss naseeb ke daastan kise sunaye !!

Tosha

2009-09-26

Umeed

Unka pyaar meri saanson mein basa hai
itni doori hai phir bhi lab pe hasi hai
Jaadu hai unki adaon ka, ek nasha hai
mujme jeene ki umeed jaag rahi hai

Anita Das

2009-09-24

Chamak

Tum mein Hiro ki chamak hai to andheron se dosti karlo,
Warna Kaanch ke tukde bhi chamkte hain ujalo mein..

Aapka

Mere Zakhmo Ko Apka Dukhna Accha Laga
Meri Haalat Pe Aapka Muskurana Accha Laga
Mujhe To Talab Thi Apke Pyar Ki
Apka Nafrat Se Nighae Churana Accha Laga.

2009-09-23

Katre

Aaj Barish Me Tere Sang Nahana Hai
Sapna Yeh Mera Kitna Suhana Hai
Barish Ke Katre Jo Tere Hothon Pe Gire Hai
Un Katro Ko Apne Hothon Se Uthana Hai

Message

Sookhi Padi Hai Dalee, Mausam Nahi Aaya
Abhi Tak Hawaa Ka Koi Jokha Nahi Aaya
Subah Se Mobile Sajayen Baithe Hai
Dost Phir Bhi Tera Koi Msg Nahi Ayaa

2009-09-22

Ehsaas

Apne Aagaaz Se Aaj Tak Zindagi
Teri Hi Yaad Mein Gum Rahi
Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ehsaas Hai
Jaise Chaahat Meri Kam Rahi

Majboor

Samaj Jate The Hum Unke Dil Ki Baato Ko
Wo Hame Har Bar Dhoka Dete The
Lekin Hum Bhi Majboor The Dil Ke Haato
Jo Bar-Bar Mauke Dete The

2009-09-21

Hum

Pyaar Ki Woh Misaal Banayenge Hum
Aankhe Band Karoge To Nazar Aayenge Hum
Bhar Denge Itna Pyar Dil Mein Ki
Khud Se Pehle Yaad Aayenge Hum

Ghaadi

Kabhi Khushi Se Khusi Ki Taraf Nahi Dekha
Tumhare Baad Kisi Aur Ki Taraf Nahi Dekha
Yeh Sochna Ke Tera Intezaar Zaruri Hai
Tamam Umar Ghadi Ki Taraf Nahi Dekha

2009-09-20

Accha Laga

Laga Kar Aag Mere Ashiyaane Ko,
Phir Aapka Khushiyaan Manana Accha Laga,
Dil Mein Thi Hasrat Aapke Deedar Ki
Saamne Aakar Chehra Chupana Accha Laga.

Afsos

Ek Parinde Ka Dard Bhara Fasana Tha
Tute The Pankh Aur Udthe Hue Jana Tha
Tufan To Jhel Gaye Par Hua Afsos
Wahi Daal Tuti Jis Par Uska Ashiyana Tha.

2009-09-19

Mohabbat

बेइन्तहा करते है हम मोहब्बत उनसे पर…..
दिल में है जो,उन्हें लफ्जों में हम कैसे जताएं !!
इश्क कि बातें हैं बंद जुबान की, अब ……..
भरी महफिल में हम कैसे सुनाएँ,कैसे समझाएं

Ashq

Woh samjh naa paye naino ki bhasha,
Jataya nahi to kyaa Pyar nahi Unn se…
Chal diye woh kisi aur ka hath tham kar,
Sun kar yeh.. ashq bhi nikale.. toh khoonn ke..

2009-09-18

Duaae

Dil se duaae bheji hai.
man ki umange bheji he.
Is paigam ko shabdo ka dher mat samajana
humne apni takdir se churakar
thodi khushiya bheji he...

Daastaan

दिल में है जो दर्द इतना, वो दर्द किसे बताएं…..

हंसते हुए ये ज़ख्म हजारो, देखो हम कैसे छुपाएँ !!

कहती है ये दुनिया खुश नसीब हमें …………….

मगर हम अपने इस नसीब की दास्ताँ किसे सुनाएँ !!

2009-09-17

Apnane

Hum to tere dil ki mahfil sajane aye the,
Teri kasam tujhe apna banane aye the.
Kis bat ki saza di tu ne ham ko,
Bewafa hum to tere dard ko apnane aye the

Namkeen

Na jaane aap par itna yakeen kyun hai,
Aapka khayal bhi itna haseen kyun hai,
Suna hai pyaar ka dard meetha hota hai,
To aankh se nikla aansu namkeen kyun hai?

2009-09-16

Jarurat

Hathon ki lakiron main kismat hoti hai,
Milna aur bhul jana logo ki fitrat hoti hai,
Bikharta to har koi hai dard me,
Magar gum bhulana insaan ki jarurat hoti hai

Yaadein

Har ek manzar par udasi hayi hai,
Chand ki roshni main bhi kuch kami aayi hai,
Akele ache the hum apne ashiyane main,
Jaane kyun laut kar aaj phir teri yaadein aayi hai

2009-09-15

Haalat

kuch loog bhool kar bhi bhulae nahi jate,
Aetibaar itna ke azmae bhi nahi jate,
ho jate hain dilon pe kuch is tarhan haalat,
Kay naksh un ke, dil se mitae nahi jate.

Rawani

Barish Ka Pani
Pholoon ka chehakna
Mitti ki khusbu
Woh raaste ka bheegna

Aur Hawa Mein hai Jo Rawani
Kaise mein Uska bayan Likhoon ...

Baarsat ke iss mausam mein
kaise mein tera intezaar karoon ....

2009-09-14

Jawaab

Bicharte hue apni yaad de jainge,
khud sone se pehle tum ko ek khawab de jainge,
Tumhe gila hai ke hum jawab nahi dete,
Sansoon ke rukne say pehle har jawab day jainge

Swaarg

Subah ka har pal Zindagi de aapko,
Din ka har Lamha Khushi de aapko,
Jahan gam ki hawa chuh ke bhi na gujare,
Bhagwaan woh Swarg de Aapko.

2009-09-13

Palpal

Jo Palpal Chale ... Woh Zindagi Hai.
Jo Palpal Jale ... Woh Roshani Hai.
Jo Palpal Khile ... Woh Mohabbat Hai.
Par...
Jo Harpal Saath Rahe... Woh DOSTI Hai….

Email

Dil ne socha khat likhu, par mili na shayari pyar wali.
Phir socha likhu phool se, par mili na dali gulab wali.
Isliye email bhej raha hu taki toote na dosti pyar wali.

2009-09-12

Imtihaan

Jane kaha the or kaha aa gaye !
duniya me bankar mehman aa gaye !
Abhi to zindagi ki kitab puri padhi bhi nahi
aur jane kitne imtihan aa gaye…

Ehsaas

Kash Ye Dil Shishe ka bana hota,
Chot Lagti to Beshak ye Fanah hota. .
Par Sunte Jab Wo Aawaz iske Tutne ki,
Tab Unhe b Apne Gunah ka Ehsaas hota

2009-09-11

Bheed se

Aaj dil puch baitha, apni hi tasveer se,
Tune kya paya hai apni taqder se,
Aapki tasveer dilke aaine ko dikhai,
Aur kaha aisa dost paya hai dunia ki bheed se.

Soorat

Khuda hamari tarah tumhe tanhaayi na de,
Hum jee lenge tanha, par tumhe Judai na de,
hamari nigahon mein basi rahe apki soorat,
Aapko bhale hi hum dikhayi na de

Magar

Sapna Kabhi sakar nahi hota
mohabbat ka koi aakar nahi hota
sub kuch hojata hai is dunya mein magar
dubara kisi se sacha pyaar nahi hota…..

2009-09-10

Darr

Pyar ko chod kar tum koi aur baatkaro
Ab mujhe pyar ki har baat se dar lagta hai
Meri khatir na woh badnam kahin ho jaye
Esliye unki har mulaqat se dar lagta hai

2009-09-09

Pyasa

Chandni se chamakti is raat mein,
ek khushboo si hai har baat mein,
hai sitaare mere kadmo ke tale,
Ek ehsaas hai aaj unki har aahat mein,
paas aake bhi kyu hein duriya,
koi pyasa hein kyu barsat mein.

Check

Aur bhi bahut si cheeze lut chu-ki hai dil ke saath
Ye bataya dosto ne ishq farmane ke baad ..
Is liye kamray ki ek ek cheez "ckeck" karta hoon main
"Ek tere aane se pehle, ek tere jaa-ne ke baad"

Ghazal

Kaghaz pe hum ne zindagi likh di,
Ankhon se seench kar apni har khushi likh di,
Dard jab hum nay utara lafzon may,
Zamanay nay kaha WAH kia ghazal likh di.

Yaad

Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,
yaad unhe din rat kiya karte the,
ab un raho se guzra nahi jata,
jaha baith kar unka intezaar kiya karte the.!

2009-09-07

Kaha us ne...

kaha usne bharoosa dil pe itna nahi karte .
kaha me ne pyar me kabi socha nahi karte

kaha us ne khush rang duniya ke nazaray hain.
kaha me ne jab tum ho paas,hum kuch dekha nahi karte

kaha us ne main tum se door hon lekin tumhare paas hun
kaha main ne sapno se dil ko behlaya nahi karte.

kaha us ne tumhari chahat humhe ruswa kar degi.
kaha main ne shorat se gabraya nahi karte

kaha usne samjh jao meri jaan samjh jao.
kaha main ne dewano ko samjaya nahi karte

2009-09-05

Saawal

Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai,
Koi aankhon aankhon mein mulakat kar leta hai,
Mushkil hota hai jawab dena,
Jab koi khamosh rehkar bhi sawal kar leta hai?..

Khel Lafzon ka

Karrwey Hotey Hain , Meetthey Hotey Hain
Sachey Hotey Hain , Jhootey Hotey Hain
Zahreeley Hotey Hain , Nasheeley Hotey Hain
Jaadoo Kar Detey Haon , Pagal Kar Detey Hain
Kateley Hotey Hain , Nokeley Hotey Hain
Kahin Matam Kar Detey Hain
Kahin Khushiyan Bhar Detey Hain
Sara Khail Hi Lafzon Ka Hai
Sara Khail Hi Lafzon Ka Hai ....!

Kaha karte the

Mai wohi hoon jise Tum Dost kaha kartey they
Din mai 100 baar Mera Naam liya kartey they

Aaj kya Baat hia, Q Mujh se Khafa bethey ho
Kya kisi aur ko Dost bana bethey ho?

Faasle itne to Pehley na hua kartey they
Mai wohi hoon jise Tum Dost kaha kartey they

Tum agar Bhool gaye to koi Baat nahi
Zakhm to pehley bhi is Dil per laga kartey they

Mai wohi hoon jise Tum Dost kaha kartey they
Din mai 100 baar Mera Naan lya kartey they

Zakhm

Dil toota hai magar apni yaade chod gaye
Kasam hamse karake khud vaade thod gaye
Lagta hai dar raat se kahi unki sapne na aajaye
Dil ke zakhm ke upar naya chot na lag jaye

Aap mile

Dost manga tha khuda se par sab bewafa mile
Izhaar karke zindagi me sabse bas intezaar mile
Phoolon se sajaya kisiko dilme tho bas kaante mile
Ab maangne se darte hai kahin naya zakhm na mile

Baarsat

Barsaat kee bheegee raaton men, jab yaad kiseekee aatee hai
Armaan bhare is dil ko wo, meethee see kasak de jaatee hai

Jab door gagan men ye bijlee, yoon chamak chamak ke naach uthe
Sapnon se jagaakar ye meree, neendon ko udaa le jaatee hai

Ghan ghan garjen dham dham barsen, ye baadal kaale kaale bhee
Barish kee ye boonden dekho, kyaa bal khaake lahraatee hain

Ye raat bhee kaT hee jaayegee, wo subah nayee fir aayegee
Ye sochke hee is gulshan men, phoolon kee mahak chhaa jaatee hai

2009-09-03

Ittefaq

Ittefaq se hum mile,
Ittefaq se aap hume pasand aaye,
Ittefaq se hum dost bane,
Humari dosti ab ittefaq nahi,
Zindagi ki khoobsurat hakikat hai?.

2009-09-02

Darr

Jamane se nahi to tanhai se darta hun,
Pyar se nahi to ruswai se darta hun,
Milne ki umang bahot hoti hai dil me,
Lekin milne ke baad teri judai se darta hun??

Deewane

Yun door rehkar duriyon ko badhaaya nahi karte,
Apne deewanon ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyaal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte??

2009-08-31

Tum mere Kya ho

Tum hamara armaan ho, In honton ki muskan ho

Hum to ek zinda laash hai, Tum humari jaan ho

Tumne dil ko bahut toda, Dil ne phir bhi tumhe pooja

Na jaane tum me kya hai, Jo is dil ne tumhe itna chaha

Shayad tum ek ehsas ho In annkho ka khwaab ho

Kabhi mujhe naa milne wala, Un sawalao ka jawab ho

Tum samne kabhi aate nahi, Aur dil se kabhi jate nahi

Dard itna diya hai, Dawa kyu dete nahi

Tum mere is dil ka karar ho, Tum mere dil me samaye ho

Me kaise tumse keh du, Ki tum mere kya ho

Nazaara

hum b hue the chahat mein barbaad
hotoon pe hamesha rehti thi koi na koi fariyaad
har lamha zindagi ka suhaana lagta tha
band ankhoon mein rangeen nazara dikhta tha...

2009-08-30

O Dil

Tum Humare Ho Is Ehsaas Se Hai Zinda,

Warna Hum To The Khud Se Bhi Sharminda,

Teri Chahat Ne Hai Kiya Karam,

Warna Khud Se Nazre Nahi Milate The Hum,

Tu Hi Laya Hai Iss Virane Me Bahaar,

Warna Kahan Aata Tha Iss Dil Ko Karaar,

Shukriya Mujhpe Aane Wale O Dil,

Ab Tu Dariya, Tu Hi Mauj Aur Tu Hi Saahil

2009-08-26

Kanjus

Sms Na Karke Dil Tod Diya Mera,
Ab Mobile Dafna Dena,
Kafan Na Mile To Apna Rumal Odha Dena,
Koi Puchhe Rog Kya Tha,
To Nazre Jhuka Ke Apni Kanjusi Bata Dena.

Paro

Bahar Ki Gali Main Paan Ki Dukan
Devdas Ne Dekhi Paro Ki Muskan,
Devdas Ne Khilaya Paro Ko Paan,
Khake Paan Boli Paro - "Shukriya Bhai Jan"

2009-08-25

Kafila

Hasino ka kafila masjid ki taraf jaa raha tha, 
Humne apni taraf bula liya,
Hum toh barbad ho chuke thae lekin 
Khuda ko barbad hone se bachha liya...

Yaadein

Har Shaam keh jaati hai ek Kahani,
har Subah le aati hai ek nayi Kahani,
Raaste toh badalte hai har din lekin,
Yaadein reh jaati hai wahi Puraani...

2009-08-24

Uske jaane se

uske jane se dil ko kahin fir na chain aaya,
jis rah se gujre bas uska hi aks najar aaya,
mene to ki nibhayi har kasam diwangi ki had tak
par is mohabbat ko sayad wo samajh hi nahi paya.

2009-08-23

Tum !!

Yaado se judke yaad aate ho tum,
yaad aakar yaadgar bann jaate ho tum,
yaado hi yaado me gher jaate ho tum,
kyo yaad ko bhi yaad bana jaate ho TUM...

2009-08-21

Ankh !

Wo ankh badi pyari thi
Jo humne use maari thi
woh sandle badi bhari thi
jo usne hume maari thi
 
Muft mein peet gaye yaar
hume ankh maarne ki bimari thi.

2009-08-20

Ishq application

Dil Se Ek Ishq Ki Ek Application Kar Raha Hoon.
Pyaar Se `Debug´ Karna Mein Wait Kar Raha Hoon.
Tumhaare Intezaar Mein Neend Aayee So Gaya .
Yeh Dekho Mera Connection ´Time Out´ Ho Gaya.

2009-08-19

Nishani

Dil Diya Tha Mohabbat Ki Nishani Samajh Kar
Woh Khaa Gya Usey Biryani Samajh Kar,
Khoon-E-Jigar Bhi Na Choda Zalim Ne,
Woh Bhi Pee Gya Neembu Paani Samajh Kar

Chaand Sitaare

Kaash Tere Chehre Pe
Chickenpox Ke Daag Hote
Chaand To Tum Ho Hi
Sitare Bhi Saath Hote

2009-08-18

Tumhe

Yeh Mat Sochna Ki Hum Bhool Jayenge Tumhe
Door Rehkar Bhi Hamesha Chahenge Tumhe
Agar Dost Bankar Raas Na Aaye To
Bhoot Bankar Darayenge Tumhe

Sardi

Khuda Karay Ki Tum Ko Judai Na Milay
Kabhi Bhi Tanhai Na Milay
Mujhay Sms Na Karo To Kuch Aisa Ho
Ki Mosam Ho Sardi Ka Or Tum Ko Razai Na Milay

2009-08-17

Kho se jaatey hai

Chaahey Hum Jitna Bhi Jhoot Bolein
Din Ko Raat Kahein Ya Raat Ko Din
Woh Dheerey Say Muskura Ke
Humari Baat Maan Ley Gi
Hairaan Ho Jaatey Hain
Uss Ki Mohabbaton Ko Dekh Ke
Aur Abb To Hum Bhi
Kho Say Jaatey Hain
Ussi Ke Khayalon Mein
Jo Har Baat Pay Mukuraa Jaye
Chupkey Chupkey Say
Humarey Dil Mein
Rehney Lagi Hai ....!

Dost

Do lamhon se bani hai yeh "Zindagi"
Ek Khushi aur Ek Gham…
 
Do Logon se bani hai yeh "Dosti"
Ek "Aap" aur Ek "Hum"…

Song Lyrics : juda hoke bhi tu

juda hoke bhi tu mujhmein kahi baaki hai
palkon mein banke aansu tu chali aati hai
juda hoke bhi

waise zinda hu zindagi bin tere main
dard hi dard baaki raha hai seene mein
saans lena bhar hi yaha jeena nahi hain
ab toh aadat si hai mujhko aaise jeene mein
juda hoke bhi tu mujhmein kahi baaki hai
palkon mein banke aansu tu chali aati hai

saath mere hain tu har pal shab ke andhere mein
paas mere hain tu ujale savere savere mein
dil se dhadkan bhula dena aasan nahi hai
ab toh aadat si hai mujhko aaise jeene mein
juda hoke bhi tu mujhmein kahi baaki hai
palkon mein banke aansu tu chali aati hai

ab toh aadat si hai mujhko aaise jeene mein
yeh jo yaadein hai - 2
sabhi kaatein hai - 2
katado inhe - 2
ab toh aadat si hai mujhko.

Wish you a Gud Day
~~~~~~~~~~~~~~~~
Raj Salecha
rsalecha@gmail.com
~~~~~~~~~~~~~~~~
:)

Joan Crawford  - "I, Joan Crawford, I believe in the dollar. Everything I earn, I spend."

2009-08-16

Main..

phool mujhe pasand nahin,
main kantoon ka diwana hoon.

main jalne wali aag nahin,
jal jane wala parwana hoon.

khawab mujhe pasand nahin,
main hakikat ka ashiyana hoon.

main mitne wali hasrat nahin,
jine wala afsana hoon.

main thamne wala waqt nahin,
naa chu paane wala kinara hoon.

main rukne wali sanns nahin,
sada dil me dhadkne wala sahara hoon

2009-08-13

Rishtey

Kahte hai rishte nasha ban jate hai
Kahte hai rishte saja ban jate hai
Par rista nibhao sache dil se to
Woh rishte bhi jine ki vajah ban jate hai..!

2009-08-12

Dil ke paas

Na toh yaado ko yaad rakhte hain…
Na hi sapno ko saath rakhte hain…
Hum toh bas unko yaad rakhte hain…
Joh hame Dil ke paas rakhte hain…

Udaan

Zindagi ki asli Udaan abhi baaki hai…
Zindagi ke kai Imtehan abhi baaki hai…
Abhi toh naapi hai muthi bhar zameen…
Aage abhi saara Asma baaki hai…

2009-08-11

Nibhana

Koi itna chahe tumhe toh batana,
koi tumpe marr-mit jaye toh batana.
Dosti toh kar lega har koi,
Par koi humari tarah nibhaye toh batana…

2009-08-10

Mobile

Zindagi ke daur me hawaao se taalluk rakhna,
Dosti ke dauraan me dosto ko yaad rakhna,
Hamaari dosti ki khushboo aati rahegi,
Tum bas apana `mobile´ On rakhna.

Tumhein

Ek tum ko hamey yaad karnay ki fursat nahi,
Ek hum ko tumhen bhulanay ki aadat nahi,
Tumhen bhula k jiye bhi to kesay,
Dharkan k bina jeenay ki aadat nahi.,

2009-08-06

Zakhm

Dil k zakhm siye hai maine,
Dard utha to usko bhi piya he maine,
Saanse chalti hai to jina hi padega,
Apni tanhayi ko ghut-ghut k piya hai hamne.

2009-08-05

Jeena na Jaane

Jamane bhar ki hasrat lekar jamane se nikal jaaye,
Mohabbat sine mein chupakar Mohabbat ke maare mar jaaye.

Mar kar jeene ka andaz dilwale hi jaane,
Hum toh jeete ji jeena na jaane.

Dur se kisine ishara toh kiya hi tha,
Hum samaj na paaye woh paas aane ka tha
Ya dur jaane ka.

Saath toh hai karvan Hum karvan ke saath nahi,
Paas hai manzil lekin Manzil ke paas hum nahi.

Chalte rahna hai jab jindagi ka naam,
Ponch ker manzil per Phir hum kiyo ruk jaaye?

Aansoo

Aansu ke chand boondon se wo rishtaa humara tod gaye
Tanha chhod ke humein gumon ko humara keh gaye
Unki ye anokhi aada kya thi hum ab tak na samajhe
Aur dardon ke baarish mein hum hee ki akele reh gaye.

2009-08-04

Yoon hi

Roz Dil Ki Daastan
Likhta Hoon
Koi Parrhta Hi Nahin
Kisi Ko Fursat Hi Nahin
Bas Tanha Apni Hi Saapne Saja Ke
Baith Jaata Hoon
Khud Say Milta Hoon 
Baatein Karta Hoon
Hansta Hoon
Rota Hoon
Phir Khud Ko Thapki Dey Ke
Sulaata Hoon
Yoon Hi Her Shaam
Beet Jaati Hai Mairi
Yoon Hi Har Shaam ....!

Toota reh jaiga

Ab K Mujh K0 Dekh K W0 Dekhta reh Jay Gaa,
Is Qadar Badlainge K W0 S0chta Reh Jaiga...
Mere Chehre Per B hoga Be'Rukhi Ka Nasha,
Aisa Hai K W0 Mujh Main Mujh K0 Dh00ndta Reh Jaiga.
Ab K Us Ki Gali Se Mera Guzar Mumkin Nahi,
Apne Ghar Ki Khirkiy0'n Se W0 Jhankta Reh Jaiga.
q Aansu0'n Ki Dh00l Main Zindagi K0 Jh0nk D00n..
Dil Ka Kya Hai Ye T0 T00t'ta Raha Hai0r
T00t'ta Reh Jaiga....

Acha laga Mujay

Chahaton kay samander main doob kar..
achanak kinary py a khary hona..
acha laga mujy....

ik doobe hue sitary ko asman py..
pher se jaga dena subha ki tarha...
acha laga muje....

akely main tarapna uun sisakana...
pher dheery se muskara dena sab k samne...
acha laga muje...

tanhaion k andhery main doobne se pehly
ik aansso sikha gaia sabak-e-hosla uun
k acha laga muje....
acha laga muje...........

2009-08-03

Dosti

dil tutana saja hai mohbbat ki
dil jodna ada hai DOSTI ki
mange jo kurbani wo hai mohbbat
jo bin mange ho jaye kurban wo hai DOSTI.

Sirf Tumhe

Mere khwab, mere khayal, meri soch,

Har jagah maine sirf tumhe basaya hai.

 

Mere junun, ehsas , pyaas ,dard, khushi,

In sab me maine sirf tumhe hi paya hai.

 

Mere dil ka chain , sukun, sukh ,shaan,

Tumhare pyar me hi to sab samaya hai.

 

Duniya , duniyawale, mehfilen, dost sare,

Tu nahin ho to sab ye jaise paraya hai.

 

Tu hai mere saath to lagta hai jaise ki,

Mere bhagwan ne meri aur haath badhaya hai

2009-08-01

Mat Ro

Mat ro mere dil chup hoja huva so huva
Mat ro mere dil chup hoja huva so huva
wo jo pyar me hota hey
etbar me hota hey
tere sath bhi mere yaar mere vahi to huva
Mat ro mere dil chup hoja huva so huva
 
sukh me kate ya dukh me basar ho
jina to har hal me hoga
amrit ho aasu ke zaher ho
pina to har hal me hoga
khawab eek tuta to tute kaya huva e dil
sath eek chuta to chute kaya huva e dil
wo jo pyar me hota hey
etbar me hota hey
tere sath bhi mere yaar mere vahi to huva
Mat ro mere dil chup hoja huva so huva

Tanhaion

in tanhaion se kah do zara.....
uun tang na kia karen hamen tanhai main..

kiun tanha ho jate hain log yahan..
in tanhaion se poch do zara..

kitne roty tarapty hain log yahan...
kal ki baat pe,aj ki baat pe....

tareefon k dhair hain yahan
sachai se koi wasta nai...

in tanhaion se wabasta hain zara...
k rehne k adi nai ham tanha..

in tanhaion se kah do zara...
uun tang na kia karen hamen tanhai main.....

2009-07-31

Intezaar ...

Dil hi dil me hum unse pyaar karte he,
Chup-chap unki mahobbat ka intezaar karte hai,
Jin raho par unka chalna mushkil hai,
Unhi raho pe hum unka intezaar karte hai

i dont luv u it doesnt mean that i hate u......!

2009-07-30

Mujhe Awaz Dena

Mujhe Awaz dena,
Kabi jab ankh chalke to ,
kabi jab Dil na sambhle to ...
Mujhe awaz dena ...

Kabi jab door ho koi ...
bohat majboor ho koi ...
koi awaz na de to ...
Mujhe awaz dena ...

Koi ansu na ponche to ...
koi hasne se rokey to ...
koi tm ko staye to ...
Mujhe awaz dena ...

Kabi jab Din na guzare to ...
kabi jab raat pad jaye ...
kabi Din me andhera ho ...
Mujhe awaz dena ...

Main tere sath rehta hon ...
magr phir b guzarish he ...
kabi jab Dil rulaye to ...
MUJHE AWAZ DENA ...

Wish you a Gud Day
~~~~~~~~~~~~~~~~
Raj Salecha
rsalecha@gmail.com
~~~~~~~~~~~~~~~~
:)

Jonathan Swift  - "May you live every day of your life."

Dil - udas

jane kiun dil udas hai yad main apne yar ki
bohat a rahi hai yad aj mujhe apne yar ki

bohat samjhaia lekin na samja ye dil-e-nadan
tarapta hai har lamha jo qurbat k lie apne yar ki

koi na rahi mehfil is dais main apne li
jab chor hi ae mehfil ham apne yar ki

ham sa b koi dewana na hoga koi is dias main
jo karta hai tasbeeh har lamha apne yar ki

dor na reh pain ge ab ham tum se
k judai bardasht nai hoti ab ham se apne yar ki

2009-07-29

Haar Chalay !!

Lo apna jahan dunya walo,
Hm is jahan ko chor chale,
Jo rishte naatey jooray thay,
Wo rishte naatay toor chalay,
Taqdeer ki andhi gardish nay,
Jo khail khilaye thay khail chukay,
Har cheez tumhari lota di,
Hum lay k nahi kuch sath chalay,
Phir dosh na dena aey logo,
Hum dekh lo khali hath chalay,
Ye raah akele kat'ti hay,
Yahan sath na koi yaar chalay,
Us paar na jane kya payen,
Is paar to sab kuch haar chalay.

Dua

Zindagi ek chahat k silsila hai,
Koi mil jata hai koi bichad jata hai,
Jinhe mangte hai hum apni duao me,
Vo kisi aur ko bina mange mil jate hai. 

2009-07-28

Humraaz

Mohhobat dard b hai saaz b.Khamoshi b hai aawaz b.
Khamosh-e-Dil pe na jao, Ki isme rooh ki aawaz b.
Is begani duniya me..
Mera koi humdum b hai humraaz bhi...

2009-07-26

Aitbaar

Usko mere waado ka aitbaar hoga,
Dil me kisi ka bahut pyar hoga,
Chhod dia usne beech jakar mera saath,
Shayd kinare per useh kisi aur ka intzar hoga...

2009-07-24

Hamare Bas Mein Hota Toh

Tumhe Banho Me Bhar lete
Tumhe Sab se Chupa lete
Tumhe Ankho Me Rakh Lete
Kabhi Na Roothne Dete
Kabhi Na Tootne dete
Tumhe Hum Qaid kar lete
Bus apne dil ki dunya me
Kisi bhi haal me hum phir
Tumhe azad na karte,
Sabhi dunya bhula dete,
Tumhe apna bana lete,
Hamare bus me hota tou
Magar hai bebasi aisi,
Hamara dil machalta hai,
Tumhe hi yad karta hai,
Tumhara qurb chahta hai,
Magar hum kya karen jana,
 
Hamara bus nahi chalta......!

2009-07-23

Mujhe banaya

Khusboo ne phool ko ek ahsaas banaya,
phool ne chahat ko kuch khaas banaya.
Chahat ne mohabbat ko ek pyaas banaya,
aur mohabbat ne kitno ko devdas banaya.

Smart

Chand ko akele me sharam aati hogi,
Baat kuch tumhaare bhi samajh me aati hogi,
Jab bhi jikar hota hai smart doston ka,
Tumhe meri yaad bahut aati hogi.

2009-07-21

Kal ho na ho

Dosti ki galiyo me koi gam na ho,
Hamaara ye pyaar kabhi kam na ho,
Bas yahi hai dua tum khush raho,
Kyaa pata ye SMS bhejne vala `kal ho na ho´.

2009-07-18

Laajawab

Hamaare har raaz ka jo hamraaz hai,
Jo saaya bankar har pal hamaare saath hai,
Hamaari har khushi ka jo hakdaar hai,
Tu hi to vo hamaara dost laajawab hai.

2009-07-17

Jawab

Muskil nahi hai jawab dena, Baton ka uski,
Par hothon par uske koi sawal bhi to ho,
Tod dun riwaj me uski tanhai ka,
Kambakht ko mujhse koi sikayat bhi to ho.

2009-07-16

Khayal

Apne bare me kahunga to kaiyon ka zikar ho jayega,
Mante ho jinko bhala wo bhi bura ho jayega,
Chhodiye kya bat chedni mere jehan ki,
Mere baya'n se mera koi apna khafa ho jayega.

Saza

Is kadar humari chahat ka imtihaan mat lijiye,
Kyu ho khafa ye bayan to kijiye,
Kar dijiye maaf agar ho gayi koi khata,
Yu yaad na kar ke saza to na dijiye

Dosti

Dosti to zindgi ka ek Khubsurat lamha hai.

Ye sab rishto se albela hai,

Jise mil jaye wo tanhai me bhi khush hai.,

Jise na mile wo bheed me bhi akela hai..

Sukhe Patte

Kaun kisiko dil me jaga deta hai.
Ped bhi sukhe patte gira deta hai.
Wakif hai hum duniya k riwajo se,
dil bhar jaye to har koi bhula deta hai..

2009-07-14

Aap jaisa Dost !!

Har dua kabool nahi hoti,
Har aarzoo poori nahi hoti,
Jinke dil me aap jaisa dost rahta ho,
Unake liye dhadkane bhi jaroori nahi hoti.

Muskaan

Rishton ki ye duniya hai nirali, Sab rishton se pyari hai dosti tumhari,

Manzur hai aansu bhi aakhon me hamari, Agar aa jaye muskan hotho pe tumhari

Sahara

Tu hi tera sahara ban
Rakh hamesha aage badhane ki lagan,
Kya hua jo aaj tere paas nahi hai dhan,
Vijay paane ki chhaha se bhar de apna tan-man!
Jitana hai tuze har hal main,
Fir chhahe kuch bhi ho,
Muskile hazar aaye,
Fir bhi himmat na ho kum,!
Tu hi tera sahara ban
Apne aap par bharosa rakh,
Aur chalte chala jaa,
Aandhi ya tufan aaye,
Na dagmagaye tera kaleja!
Mushkilo se ladke hi tu apni raaha payega,
Mushkilo se dar gaya to pada rahe jayega!
Tu hi tera sahara ban
Muskile to aani hi hai,
vaha har kisi pe aati hai,
Magar himmat se kam liya,
To mushkile bhi dar jati hai,
Agar tuzame vishwas hai,
Aur aage badhane ki teri aas hai,
Dhirya lagan aur kathor parishram,
Jo tere paas hai,
To tuze koi nahi rokega,
Tu aage badhata chala jayega,
Aur teri vijay zamana dekhega 

2009-07-13

Chandni

Main to chala yaro chand ke pas! leker apni kuch tamanna aur aas,
milonga main wahan aaj chandni se! bhojhoon ga kuch sawaal aaj chandni ke,

ae chand tujhe chandni ki qasam! aaj kiun hai pathar ka sanam,
meri aawaz ko na sun paey wo! tu pukaray to chala aaey wo,

suna hai har shikast main ek jeet hoti hai! suna hai tujh main sanam ki preet hoti hai,
jal gaya hai aaj mera aashyana teri chandni se! nawaqif tha ke rootha hai aaj sanam teri chandni se,

banaya gaya tujhko chand is ki waja kia hai! hota gar main chand to is main bura kia hai,
kiya teray aur meray dil main musibat hi nahi!aesa lagta hai mujhe ke mujh main dil hi nahi,

aesa dil batlado kahan se laaon main! bikta hia kis bazar main kharid laaon main,
kiya hai aata jis ne tujhko dil e noor ae chand! maangoon ga main bhi dil ewaz apni jaan !!

Saath

Manzil ki talash me nikle hum sabhi,
Sabki manzil 1 ho zaruri to nahi,
Aise hi kisi mod par bichad jaye jo kabhi,
Ye mat samajna ki hum apke saath nahi.

2009-07-09

Aap Jaisa

phoolon se khoobsurat koi nahi,
Sagar se gahara koi nahi,
ab aapki kya taarif karu,
Dosti me aap jaisaa pyara koi nahi.

2009-07-08

nibhana

koi ho baat na dil se lagana,
Agar apna samjho to hi batana,
Bhool ho humse, to samjhana,
samjho jo to hak jatana,
ki hai dosti to dil se nibhana.

Paani se..

Paani se tasvir kahan banti hai,
Khwabo se takdir kahan banti hai,
Kisi ko chaho to sacche dil se,
Knunki yeh zindagi phir kahan milti hai.

Unse Mulakaat

Sabke chehre par who baat nahi hoti,
Thode se andhere se raat nahi hoti,
Zindagi me kuch log bahot pyaare hote hai,
Kya kare unhi se mulakat nahi hoti.

Shikyat

Suraj duba par raat na ho saki

Aise mile ki mulakaat na ho saki

Uski khamoshi sab kuch keh gai

Or hame shikayat rahi ki baat na ho saki

Parchayin

Nazar me uski ek kahaani thi,

Mere dil me uski tasveer ki nishani thi

Kehna tha unse ye dil ki baat

Pyaar ka jise k tha mere dil me ehsaas

Roshni chayii thi meri pyaari se duniya me

Par jane kab andeera ho gaya

Jo kuch tha mere pass us bewafa ne loot liya

Reh gaya main meri tanhai

Khamoshi me gum hua main

Ab to dar lagta hai mujhe apne aap se bhi

Isliye chupa k rakhta hun main apni parchayin.

2009-07-07

Khayal

Kyon itni udaas hai sham Kyon chhai yeh chupi hai

Kiska hai intezaar tumhe Kiski yaad sataati hai

 

Kyon palat palat kar dekhte hain Kisko aankhe dhoondh rahi hain

Aankho mei aaye yeh aansoo Kaya dil ki vyatha sunaate hain

 

hum bhee yeh samjh chuke hain chah kar bhee bhool nahi paate

dil ki dharkaney bar jaati hain jab unke khayal aate hain

Mein Sochta hun

zindagi ki hatheli par,
aadhi tirchi lakeere hai,
jin me khud ko khojta hu,
me sochta hu,
kaash yeh lakeer,
yaha say hokar,
kuch is tarha se guzarti, 
to shayad,

zindagi ka maina kuch alag sa hota

in lakeero me jo alfaaz chupe hai

unhe dhoondte dhoondte ,

ek umar guzar jaati hai,

alfaaz jodte jodte ek kahani banti hai,

dhoondli dhoondli si eek tasweer ubharti hai,

me dhondta hu,

ki iss tasweer me,

shayad kahi,

koi apna nazar aa jaye ..

ek kashish hai in lakeero me,

to waqt ke saath,

badhtii chali jaa rahi hai,

me sochta hu,

ye silsila kaha rukega,

Kabhi nazre milane me zamane beet jate hai

Kabhi nazre churane me zamane beet jate hai

Kisi ne aankh bhi kholi to sone ki nagri me

Kisi ko ghar banane me zamane beet jate hai

Kabhi kali seyah raate hume pal pal ki lagti hai

Kabhi ik pal bitane me zamane beet jate hai

Kabhi khola ghar ka darwaza khadi thi samne manzil

Kabhi manzil ko aane me zamane beet jate hai

Ik ik pal me toot jate hai umar bhar ke wo rishte

Wo rishte jo banane me zamane beet jate hai

2009-07-03

Saath

Kahin Kisiko Sahare Ke Liye Haath Chahiye,
Toh Kisiko Pyar Ki Saugaat Chahiye.
Par Hamein Kuch Mile Na Mile,
Hume Aapki Dosti Ka Umr Bhar Saath Chahiye.

2009-07-02

Chale gaye

 

Sapno ki duniya me hum khote chale gaye,
Hosh me the fir bhi madhosh hote chale gaye,
Jane kya baat thi uske chehre me,
Na chahte bhi uske hote chale gaye.

2009-06-30

Dard

 

farz to hum bhi nibhayege.....
yaar ki yaad ayegi to......
ankh se anshoo gir jayenge.....
jab koi dard unke pass jaye......
to haan kar unko hum apne dil se sahjaye...... 

Zara Thair Jao

Kareeb mout khari hay zara thair jao
Qaza se aankh lari hay zara thair jao
Thaki thaki si fazayen bohjal bohjal se tare
Bari udas ghari hay zara thair jao
Naheen umeed k hum aaj ki saher dekheen
Yeh raat hum pe kari hay zara thair jao
Abhi na jao k taroon ka dil dharakta hay
Tamaam raat pari hay zara thair jao
Damfraq main tumain je bhar kar dekh to lain
Yeh fasle ki ghari hay zara thair jao
Phir is k baad na hum tum ko rokain ge
Laboon pe saans ari hay zara thair jao...!

Aap

Aapki yaadon k rahte hum tanha nahi.....
AAp yaad na aao aisa koi lamha nahi.....
Aapki yaadain hi aapka ehsas hai ...
Har pal lagta hai ki aap hamare pass hai..

Mera Dil Tujhy Yaad Kerta Hay


mera dil tujhay yaad karta hay
milne ki phir se faryad karta hay

laut aao phir se zindagi main
suna ghar jisey koi aadaab karta hay

bichray hue do dil mile aise
jaisy koi kisi ko qaid se azaad karta hay

zara jee bhar k tumhe dekh to lu
dobara phir milne ki aarzu dil karta hay

pyaar k badle mile dhoka agar
wo dil humesha zindagi barbaad karta hay

Aap aur Hum

Khusshee apki ho, par ghum mere,
zindagi apki ho, par sanse meri,
Dil apka ho, par dhadkan meri,
 
zindagi ke ahkri modh par duaa hogi yehi hamari,
Kafan apka ho, aur maut meri.

2009-06-29

Saagar

Gam ke Sagar mein,
Khushiyon ke tinke doondh raha hoon,
main Jeena chaah rakhta hoon,
phir bhi aye logo main doob raha hoon...

Kabhi

kabi yaadein kabi sapne suhane bhej deta hay

mujhe aksar wo yadon k khazane bhej deta hy

Me jab guzre dino ki talkhiyon ko bhool jata hun

mujhe phir koi beetay zamane bhej deta hy

kabhi qasmein kabhi ehd-e-wafa ka hosla dey kar

mujhe wo zinda rehne k bahane bhej deta hay.

Aye Khuda

Main hi thaam sakun haath unka, 
Mujh pe itni ibaadat si karde, 
Wo reh na paaye ek pal bhi mere bina, 
Aye khuda tu unko meri aadat si karde.....

2009-06-24

Ishq

Ye dua hai aatish-e-ishq mein tu bhi meri tarah jala kare,
Na ho khushi naseeb tujhe tere dil mein dard utha kare,
Tere saamne tera ghar jale tera bas chale na bujha sake,
Tere dil se nikle yahi dua ke na ghar kisi ka jala kare.

Kami

Har nami me kuch kami tho rahegi,
Aankhe kuch shabnami tho rahegi,
Zindagi ko hum kitna bhi savare,
Bin aapke kuch kami tho rahegi.

2009-06-23

Tujhe

Humse Apna Ghar Kisi Tarah Sajaya Na Gaya,
Jindgee Tujhko Bhi Mehmaan Banaya Na Gaya,
Laakhon Dilchaspi Ke saaman Thye Duniyaan Me Magar,
Ek Lamha Bhi Tujhe Dil Se Bhulaya Na Gaya.

2009-06-22

Feelings

Feelings

 

A thousand words rose to my lips but fell silent,
A million emotions churned out from my heart
outnumbering the stars in the night sky,
In that silence tears rolled down my cheeks
to find the gentle palm of yours holding mine.
The warmth of your hand gave my soul wings to fly
from the year-long separation that we have had,
Your very presence cleared all the doubts
just as the sun drives away the clouds.
It was bliss to lose myself
in the infinite love of your perfect eyes,
It was heaven to melt away
in the honey dew smile of yours,
which said you will never leave me!

Shaq

Tu Shaq Na Kar Mere Jazbato Pe,
Tere Sath Hi Zindagi Meri Khubsurat Hai,
Jitni Ehmiyat Hai Pani Ki Marte Insan K Liye,
Bus Utni Hi Muje Teri Zarurat Hai.....

2009-06-11

3-Factor

Jeevan me`safal' hone ke liye 3 factor jaroor lagao,
Pratham: brain mein eyes factor...
Dwitiya: jubaan mein sugar factor...
Trutiya: heart mein friendship factor...

Dosti

Jaruri nahi dosti me mulakat hoti rahe,
Jaruri nahi ki baat hoti rahe,
par jo jaruri hai vo bas yahi,
ki dost ko meri dosti yaad aati rahe.

Savera

Jo tum chaho vo tumhara ho,
Roshan raate aur khoobsurat sawera ho,
Jaari rakhege hum duaaaon ka silsala,
ki kaamyab har manzil pe dost hamara ho...

2009-06-08

Main na mil saku tumse

Waadaa Karke Nibhaane waale Kam Hote Hai

Ishq Naa Karanna Ishq Mein Ghum Hi Ghum Hote Hai

Main Naa Mil Saku Jo Tumse Meri Justaju Naa Karanaa

Tumhe Meri hi Kasam Hai Meri Aarzu Naa Karnaa

Mujhe jiss se Hai Muhobbat Use Hai Ajeeb Aadat

Kabhi Moo Ko Pher Lenaa Kabhi Guftagu Naa Karanaa

Tumhe Meri hi Kasam Hai Meri Aarzu Naa Karnaa

Main Naa Mil Saku Jo Tum se Meri Justaju Naa Karanaa

Maine Chaahaa Thaa Kisi ko Meraa Haal Kyaa Hai Dekho

Jo Kiyaa Kusur Maine Wohi Tum Ka Bhu Naa Naa Karanaa

Tumhe Meri hi Kasam Hai Meri Aarzu Naa Karnaa

Main Naa Mil Saku Jo Tum se Meri Justaju Naa Karanaa

Meri Ho Agar Buraayi To Naa Denaa Tum Safaai

Mere Saath Khud ko Rusavaa Kabhi Kubaku Na Karanaa

Tumhe Meri hi Kasam Hai Meri Aarzu Naa Karnaa

Main Naa Mil Saku Jo Tum se Meri Justaju Naa Karanaa

Koi Puchhe Badnaseebi Ki Hai Inthaa bhi Koi

To Meri Misaal Denaa Tum Mujhe Namuna Karanaa

Tumhe Meri hi Kasam Hai Meri Aarzu Naa Karnaa

Main Naa Mil Saku Jo Tum se Meri Justaju Naa Karanaa



Live and Let Live
~~~~~~~~~~~~~~~~
Raj Salecha
rsalecha@gmail.com
~~~~~~~~~~~~~~~~
Join My SMS Channel :
http://labs.google.co.in/smschannels/subscribe/Quote2Day
Dan Quayle  - "This President is going to lead us out of this recovery."

2009-06-07

Intezaar

Intezaar Ke Lamhe Sholey Mein Badalne Lage Hain,
Hum Unka Intezaar Karne Lage Hain,
Woh Aayi Nahi Abhi Tak Samay Bahot Ho Gaya Hain,
Ab To Hum Ghadi Se Bhi Sharminda Ho Gaye  Hain

2009-06-03

Yaad

Unki Tasviro Ko Seene Se Laga Lete Hai,
Is Tarah Judai Ka Gam Mita Dete Hai,
Kisi Tara Kabhi Unka Zikr Ho Jaye To,
Bheegi Palko Ko Juka Lete Hai.

2009-06-02

Khayal

Din Tere Khayal Mein Gujar Jata Hai,
Raat Ko Bhi Khayal Tera He Aata Hai.
Kabhi Ye Khayal Is Tarah Badh Jaata Hai Ki
Aaine Mein Bhi Tera Chehra Nazar Aata Hai.

Hum Na Hote To, Kisi Aur Ke Charche Hote, Na Hota Jo Yeh Ishq, To Koi Aur Gham Ke Bahaane Hote


Na aaya

Itna Kuch Khoya Ki Hume Paana Na Aaya,
Pyar Kiya To Jatana Na Aaya.
Aa Gaye Is Dil Mein Pehli Hi Nazar Mein Who,
Kasoor Humara Tha Jo Hume Unke Dil Mein Samana Na Aaya.

Woh Ek Lafz Ki Khushboo Na Rakh Sake Mehfooz Hum Unke Haath Sari Kitaab Kya Dete


Chorr diya

Karte Rahe Intezaar Har Ghari,
A Dil Humne Ye Kaya Kho Diya Uth Gaya Yakeen Wafa Se,
Jaane Tumne Wo Waada Kyon Kiya Suraj Nei Hansna Aur Taaron Nei Muskuranaa Chhor Diya
Aag  Thee Dil Mei Mohabaat Ki, Usney Bee Ab Jalna Chhor Diya

Sharab

Pee ke raat ko hum unko bhulane lage,

sharab mein gum ko mitane lage,

Zalim sharab pite hi asar dikhane lagi,

nashe mein unki saheliya bhi yaad aane lagi

Ghajini

Teri Dosti ko mein nibhaunga,

teri khusiyon pe muskaraunga,

Badalna nahi waqt ki tarah A dost,

warna ho ke ganja Ghajini ka hero banjaunga

Chali Gai

mere khwabon me vo teer chala kar chali gai, 
mai soya tha jaga k chali gai,
maine pucha chand kaise nikalta hai ,
to chehre se julfain hata k chali gai.

Raj

ek Shayr

lafjo ki tarh kitabon me milna ,
duniya ka dar ho tou khwabo me milna,
phulon ki khushbu se taluk hai jaruri,
tu banke mehalk gulabon me milna.

rj

Chota Shayr

Nadaani mein hum kisse apna samajh beithe
jo dikhaaya uss bewafa ne sapna hum haqeeqat samajh beithe
dekho aaj chod diya hamein usne ek gair ke liye
jisse hum apna humsafar samajh beithe 

Raj

2009-06-01

Woh

Ai meri zindagi yu mujhse daga na kar,
Use bhul kar zinda rahu ye dua na kar,
Koi dekhta hai use to hoti hai taqleef,
Ai hawa tu bhi use chua na kar.

Palke

Unki Tasviro Ko Seene Se Laga Lete Hai,
Is Tarah Judai Ka Gam Mita Dete Hai,
Kisi Tara Kabhi Unka Zikr Ho Jaye To,
Bheegi Palko Ko Juka Lete Hai.

2009-04-29

Apni hasti bhool gaee mai teri mastt adaaon main ..by Maaheen

Apni hasti bhool gaee mai teri mastt adaaon main
Aik pujaaran ulajh gaee ho jaisey laakh khudaaon main

Too bhi hai insaan, khata-ain tujh sai bhi tou mumkin hain
Mujh ko bhi shamil ker lai un maasoom khataaon main

Husn or Ishq kai deryaaon main, tair kai jaana mushkil hai
Har jumbish toofaan chupey hain in gehrey deryaaon main

Mujh sai milna hai tou mil ley, dhoondh na rastey milney kai
Galyaan, koochey rastey bhi kiya hotey hain sehraa-on main?

Insaanon ki dunya main Maah , insaan kum kum hi miltey hain
Mai nay shehron shehron dhoondha, dhoondha gaaon gaaon main.

"Woh jatey jatey Aankhon mai sapney saja gaya
Goya baghair saans kai jeena sikha gaya."

Mahheen.

Koi Achi si Saza do Mujh ko : Waqas Ahmad

Koi Achi si Saza do Mujh ko,

Chalo Aisa karo Bhula do Mujh ko,

Apne Dil men Basi Tasveer Meri,

Aisa karo Jala do Us ko,

Meri Wafa pe Agar shakk hay Tum ko,

To phir Nazar se Gira do Mujh ko,

Muddat hogai hay Tere Hijr men Jaagte hoye,

Apni Sanson ki Hararat se Sula do Mujh ko...