2009-07-14

Sahara

Tu hi tera sahara ban
Rakh hamesha aage badhane ki lagan,
Kya hua jo aaj tere paas nahi hai dhan,
Vijay paane ki chhaha se bhar de apna tan-man!
Jitana hai tuze har hal main,
Fir chhahe kuch bhi ho,
Muskile hazar aaye,
Fir bhi himmat na ho kum,!
Tu hi tera sahara ban
Apne aap par bharosa rakh,
Aur chalte chala jaa,
Aandhi ya tufan aaye,
Na dagmagaye tera kaleja!
Mushkilo se ladke hi tu apni raaha payega,
Mushkilo se dar gaya to pada rahe jayega!
Tu hi tera sahara ban
Muskile to aani hi hai,
vaha har kisi pe aati hai,
Magar himmat se kam liya,
To mushkile bhi dar jati hai,
Agar tuzame vishwas hai,
Aur aage badhane ki teri aas hai,
Dhirya lagan aur kathor parishram,
Jo tere paas hai,
To tuze koi nahi rokega,
Tu aage badhata chala jayega,
Aur teri vijay zamana dekhega 

No comments: