2014-10-30

Chehra

Agar hum na hote to ghazal kaun kehta,
Aap ke chehre ko kamal kon kehta,
Yeh to karishma hai mohabbat ka,
Varna pathro ko tajmahal kaun kehta

2014-10-27

Dil

Na khuda dil banata, na kisise pyar hota,
Na kisiki yaad aati na kisika intezaar hota.
Dil diya hai, ise sambhal ke rakhna,
Shishe se bana hai, pathar se dur rakhna!

2014-10-23

Attract

Tumhari lovely aankho ne,
Hame aise attract kiya,
Ke sabko neglect karke,
Tumhe hi select kiya.

2014-10-19

Yaad

Yeh mat pucho tum bin hum kya kya khote rahe,
Tumhari yaadon mein hum roz kitne rote rahe,
Na din gujre hai na raatein,
Bas kuch bechain se hum hote rahe!

2014-10-15

Duniya

Dil se tumhe kaise mita de,
Hum tumhe kaise bhoola de.
Ji to chahata hai duniya chor de,
Ya phir judai dene wale in duniya walo ko phod de.

2014-10-11

Milan

Jamane se nahi to tanhai se darta hu,
Pyar se nahi to ruswai se darta hu,
Milne ki umang bahot hoti hai dil me,
Lekin milne ke baad teri judai se darta hu

2014-10-07

Asar

Kuch nasha to aapki baat ka hai
Kuch nasha to dheemi barsaat ka hai
Hame aap yuhi sharabi na kahiye,
Yeh dil par asar to aapse mulaqat ka hai

2014-10-03

Awaaz

Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte