2010-06-30

Guzra

Jaan se bhi zyada unhein pyar kiya karte the,
Yaad unhein din raat kiya karte the,
Ab un rahon se guzra bhi nahi jata,
Jahan baith kar un ka intezaar kiya karte the.

2010-06-29

Mehboob

Dil Cheer Ke Dekh Lo Mera,
Tasveer Usi Ki Hogi,
Kabhi Hille Agar Is Dil Ke Darwaje,
Toh Aahat Usi Ki Hogi.
Pyar Ka Jazba Bhi Kya Khwaab Dikha Deta Hai
Ajnabi Chehre Ko Mehboob Bana Deta Hai !!

2010-06-28

Wah Wah

Yeh ishq, pyaar aur mohabbat sab kitabon ki baate hain,
jisne samjha hai dard yaaron , wahi to shayar hai...

Dil ke chalon ko jab koi shayeri kahe to koi baat nahin,
taklif to tab hoti hai jab log wah wah karte hain...

2010-06-25

Jaan

Log ishq mein jaan dene ki baat karte hain,
Magar deta koi nahi.
Hum to hatheli per jaan liye ghoomte hain,
Kambakht koi maangta hi nahi.

2010-06-24

Sansoo

Meri chahtain tum se alag kab hain....
Dil ki battain tum se chuppi kab hain....
Tum sath rahoo dil main dharkan ki jagga...
Phir zindagi ko sansoo ki zaroorat kab hai...

2010-06-23

Raah

yar ki baat naa karo aye dosto,
Bahoot hi jakham khaaye hai humne ismein.
Iski raah mein chal kar to dekho dosto,
Kaante hi kaante bichhaye hai khuda NE ismein.

2010-06-22

Baap

Dil ka dard dil todne wale kya Jane,
Pyar ke rivazon ko zamana kya Jane,
Hoti hai kitni takleef ladki patane mein,
Ye ghar pe baitha ladki ka baap kya jaane.

2010-06-21

Tabeez

Teri dosti mein khud ko mehfooz maante hain,
Hum doston mein tumhe sabse azeez maante hain.
Teri dosti ke saaye mein zinda hain,
Hum to tujhe khuda ka diya hua tabeez maante hain.

2010-06-18

Pyar

Bolti hai dosti, chup rehta hai pyar.
Hasati hai dosti, rulata hai pyar.
Milati hai dosti, juda karta hai pyar.
Phir bhi kyun dosti chodkar log karte hain pyar??

2010-06-17

Khushi

Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin,
Bhool aaye hum apni takdeeren kahin.
Agar mile tumko kahin to utha Lena,
Mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja Lena.

2010-06-16

Saath

Kadam kadam pe baharon NE saath chhoda,
Zaroorat padne par yaaron NE saath chhoda,
Vaada kiya sitaron NE saath dene ka,
Subah hone par sitaron NE bhi saath chhoda

2010-06-15

Intezaar

Kabar ki mitti utha ke Le gaya koi,
Isi bahane humein choo kar chala gaya koi,
Tanhayi aur andhere mein khush they hum,
Lekin phir se intezaar karne ki wajah de gaya koi.

2010-06-14

Milna

Sabhi ko sabh kuch nahi milta,
Nadi ki har lehar ko sahil nahi milta,
Yeh dil walon ki dunia hai dost,
Kisi se dil nahi milta to koi dil se nahi milta

2010-06-11

Tanhai

Tanhai bhari zindagi ka safar mila;
Na saathi, na humsafar mila.
Hum diya jalta chhod gaye the unke liye;
Jab vapis lote to jalta hua ghar mila.

2010-06-08

Humne

Teri berukhi ko bhi rutba diya humne.
Pyar ka har farz Ada kiya humne.
Mat soch ke hum bhool gaye hain tujhe;
Aaj bhi khuda se pehle tujhe yaad kiya humne.

Source: Internet Friend

2010-06-07

Aansu Bahane ko

Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko,
Chale jayenge jab hum kabhi na vapas aane ko.
Chalega mehfil me jab zikr hamara koi,
To tum bhi tanhayi dhundoge aansu bahane ko.

Source: Internet Friend

2010-06-05

Tera Naam

Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum,
Bas yahi ek Wada nibha payenge hum.
Mita denge khud ko bhi jahan se lekin,
Tera naam dil se na mita payenge hum..

Source: Internet Friend

Chahat

Woh nadiyan nahi aansu they mere,
Jinpar woh kashti chalate rahe.
Manzil mile unhein yeh chahat thi meri,
Isliye hum aansu bahate rahe.

Source: Internet Friend

2010-06-04

Aapne

Hamara har lamha chura liya aapne,
Aankhon ko ik chand dikha diya aapne.
Hamein zindagi to di kisi aur Ney,
Par pyaar itna dekar jeena sikha diya aapne.

Source: Internet Friend

2010-06-02

Bahane

Is kadar hum yaar ko manane nikle,
Uski chahat ke hum deewane nikle,
Jab bhi use dil ka haal batana chaha,
To uske hothon se waqt na hone ke bahane nikle...

Source: Internet Friend

Palke

Ummido ki shama dil me mat jalana,
Is jahan se alag duniya mat basana,
Aaj bas mood me tha to MSG kar diya,
Par roj intezar me palke mat bichana!