2010-03-31

Hum chale

Teri yaad mein deeWane hoke hum chale..

Duniya ko bhool masTaane hoke hum chale..


Tu kya jaane is dil ka haAl kya hai..


Hum kya The aur kya hoke hum chale..

2010-03-30

Kone

Tere naam ko honto pe sajaya he mene.

tere ruh ko apne dil me basaya he mene.


dunya tumhen dhondte dhondte ho jaye gi pagal.


dil ke aise kone me chupaya he mene.

2010-03-29

Kasam

Tumhe Dekh Kar Yeh Nigah Jhuk Jaygi

Khamoshi Ab Har Baat Keh Jayegi


Parh Lena In Ankhon Mein Apni Mohhobat Ko

Teri Kasam Saari Kaynaat Wahin Ruk Jayegi.

2010-03-28

Dosti

Dosti naam hai sukh-dukh ke afsaane ka.

Yeh raaz hai sada muskuraane ka.

Yeh pal do pal ki rishtedaari nahi.

Yeh to farz hai umr bhar nibhaane ka.

2010-03-25

Dard

Na wakt hai itna ki sylabus pura kiya jaye

na tarkib koi ki exam pas kiya jaye.

Na jane kaun sa dard diya hai is padhai ne

na roya jaye aur na soya jaye. 

2010-03-24

Kambakht

Shararat na hoti Shikayat na hoti

Nainon me kisi ke Nazakat na hoti

Na hoti bekarari Na hote hum tanha

Agar jahan me kambakht Ye mohabat na hoti

2010-03-23

Saja

Koi acchi si saja do mujhko

chalo bhula do mujhko.

Tumse dosti tute us din maut aa jaye mujhko

dil ki gahraiyon se dua do mujhko.

2010-03-22

Kaanto mein

Sache dil se karo fariyaad to

Duniya ki har ek cheez milti hai.

Jis par khuda ki rehmat ho jaye

Use kaanto me bhi khushbu milti hai.

2010-03-21

Kaash

Ek lamha jo baar baar satata hai

Na jaane yeh dil kya chahta hai.

Kaash aap hote hamari nazron ke saamne

Par yeh kaash kaash hi reh jata hai. 

2010-03-18

Nasha

Ishq aisa karo ki dharkan mein bas jaye

Saans bi lo to khushboo usi ki aaye.

Pyar ka nasha aankhon pe cha jaye

Baat kuch bi na ho par nam usi ka aaye.

2010-03-17

Kismat

Behte aashkon ki zubaan nahi hoti

Lafzon mein mohabat bayaan nahi hoti.

Mile jo pyar to kadar karna

Kismat har kisi par maherban nahi hoti.

2010-03-16

Aasmaan

Is dil ka ik arman hai

ik chand me humari jaan hai.

Jise dur se dekhna to mumkin hai

Par milna kahan aasan hai.

Kyon ki hum to ik zameen hain

Arr Vo ik aasman hai

2010-03-15

Ankhen

Unki ek yaad bechan kar jati hai

Har cheez me unki surat nazar aati hai.

Aisa hal kiya unhone pyar me hamara

Ke nind aati hai to ankhen bura maan jati hain.

2010-03-14

Sab

Tinka-Tinka tufan mein bikharte chale gaye

Tanhai ki gehraion mein utarte chale gaye.

Udte thay jinke sahare aasmano mein hum

Ek-ek karke sab bichadte chale gaye.

2010-03-11

Bhool

Hamari daastan use kaha kubul thi

Meri wafayen uske liye fizool thi.

Koi aas nahin lekin koi itna bata do

Maine chaha use kya ye meri bhool thi.

2010-03-10

Teri Zarurat

Aaj har ek pal khoobsurat hai

Dil main teri sirf teri surat hai.

Kuch bhi kahe ye duniya gum nahi

Duniya se jiada humko teri zarurat hai.

2010-03-09

Muft

Hum to pyaar ke saudagar hain

Sauda sacha karte hai

Par jab aap jaise dost ho khariddaar

To hum muft me bhi bik jaya karte hain.

2010-03-08

Kaynaat

Apko dekh kar ye nigah jhuk jayegi

Khamoshi har bat keh jayegi.

Pad lena in ankhon mei apne pyar ko

Apki kasam sari kaynaat wahi ruk jaegi.

2010-03-07

Nazar

Kuch log zindgi me is kadar shamil ho jate hain

Agar bhulna chaho to aur yaad aate hain.

Bass jate hain wo dil me is kadar

Ke ankhen band karo to samne nazar aate hain.

2010-03-04

Jaam

Jab khuda ne tujhe banaya hoga

Ek aadha jaam to usne bhi lagaya hoga.

Aise hi nashili nahi teri aankhen

Jaam ka kuch asar to tere mein bhi aaya hoga.

2010-03-03

Ek hi kaam

Mohabbat or maut dono hi

Bin bulaye mehmaan hote hai,

Kab aa jaye koi nahi jaanta.

Lekin dono ka ek hi kaam hai

Ek Dil le jati hai to doosri Dhadkan.

2010-03-02

Thokar

Dil unke liye he machalta hai

Thokar khata hai or sambhalta hai.

Kisi ne is kadar kar liya dil par kabja

Dil mera hai per unke liye dhadkta hai.

2010-03-01

Imtehaan

Kyun tumhare is ashiq ka parwano me naam lete ho

Keh kar ke dil doge humari jaan lete ho.

Pata hai nahi rakh sakte hum apni dhadkano pe kaabu

Phir kyun humari mohabbat ka imtehan lete ho.