2009-09-07

Kaha us ne...

kaha usne bharoosa dil pe itna nahi karte .
kaha me ne pyar me kabi socha nahi karte

kaha us ne khush rang duniya ke nazaray hain.
kaha me ne jab tum ho paas,hum kuch dekha nahi karte

kaha us ne main tum se door hon lekin tumhare paas hun
kaha main ne sapno se dil ko behlaya nahi karte.

kaha us ne tumhari chahat humhe ruswa kar degi.
kaha main ne shorat se gabraya nahi karte

kaha usne samjh jao meri jaan samjh jao.
kaha main ne dewano ko samjaya nahi karte

No comments: