2009-10-18

Tu mili to mili aisi jannat mujhe

Tu mili to mili aisi jannat mujhe
Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

Mit gaye fasley kam hui dooriyan
Khatem honey ko hain saari majbooriyan
Waqt nay baksh di aisi rahat mujhey
Ab kisi aur rahat ki perwah nahi...

Tu mili to mili aisi jannat mujhey
Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

Janey kya kya hamien log kehtey rahey
Rooh tarapti rahi Hans ke sehtey rahey
Jo tere pyaar ney di mohabbat mujhey
Ab kisi bhi mohabbat ki perwah nahi

Tu mili to mili aisi jannat mujhey
Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

Ek muddat isi kash ma kash mein raha
Jis ki thi aarzoo baat wo ban gayi
Khawab lagtey hain saarey haqeeqat mujhey
Ab kisi bhi haqeeqat ki perwah nahi

Tu mili to mili aisi jannat mujhey
Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

No comments: